Lapete shaan , liye aan baan bethha raha

Lapete shaan , liye aan baan bethha raha
thha khaali haath , daboche gumaam bethha raha

zameen paaon ke neeche se nikli jaati thhi
uthhai sar pe magar aasmaam bethha raha

bas ik khushi ki hi qeemat nahi chukaai gayi
liye wo haathho`n me dono jahaan bethha raha

laqeerei`n haath se ghum ho gayi`n naseebo`n ki
sajai maathhe pe unke nishaan bethha raha

safar ki gard se`kausar`wo dhaamp kar chehra
tamaam umr hi odhe thakaan bethha raha