Skip to main content

ba-qadre-paimana-e-taKhayyul surur har dil meN hai khudii kaa

ba-qadre-paimana-e-taKhayyul surur har dil meN hai khudii kaa
agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jaye aadmii kaa


hai rooh taariikiyoN mein hairaaN, bujhaa huaa hai chiraaG-e-manzil
kahiiN sar-e-raah ye musaafir patak na de bojh zindagii kaa


bas ek ehsaas-e-naarsaai, na josh is meN, na hosh us meN
junooN pe haalat ruboodgii kii, khirad pe aalam Ghunuudgii kaa


Khudaa ki rahmat pe bhuul baiThuuN, yahii na maanii haiN iske waaez
voh abr ka muntazir khaDaa ho, makaaN jaltaa ho jab kisii kaa


voh laakh jhukvaa le sar ko mere magar ye dil ab nahiiN jhukegaa
ki kibriyaaii se bhii zyaada mizaaj naazuk hai bandagii kaa