Skip to main content

KITNA MUSHKIL HAI TAMANNA KA SAFAR DEKH CHUKE..

KITNA MUSHKIL HAI TAMANNA KA SAFAR DEKH CHUKE..
ZINDIGI TERI HAR IK RAAHGUZAR DEKH CHUKE..


KAISE BANTE HAIN BIGARTE HAIN MOQADDER HAI PAL.
YE TAMASHA BHI TO HAM SHAM-O-SAHAR DEKH CHUKE.

AB CHUKATE HAIN WO HAR SAANS KI QEEMAT JAISE .
WO JO DAMAN MEN KABHI SHAMS-O-QAMAR DEKH CHUKE.


KAR KE TAMEER MOHABBAT KA HASEEn TAJ MAHAL.
KAISE LAGTI HAI ZAMANE KI NAZAR DEKH CHUKE.


APNE ASHKON KI LAGAKAR YAHAN QEEMAT "ARIZ"
KITNE NAYAAB HAIN YE LAL-O-GOHAR DEKH CHUKE.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.