Skip to main content

Un se ummiid-e-ruunumaaii hai

Un se ummiid-e-ruunumaaii hai
kyaa nigaahon kii maut aaii hai

dil ne Gham se shikast khaaii hai
umr-e-raftaa terii duhaaii hai

dil kii barbaadiyon pe naazaan huun
fatah paakar shikast khaaii hai

mere maaabad nahiin hai dair-o-haram
ehatiyaatan jabiin jhukaaii hai

vo havaa de rahe hain daaman kii
haaye kis vaqt niind aaii hai

khul gayaa un kii aarazuu men ye raaz
ziist apanii nahiin paraaii hai

duur ho Ghunche merii nazar se
tuu ne merii hansii churaaii hai

gul fasurdaa chaman udaas 'Shakeel'
yuun bhii aksar bahaar aaii hai

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng