Skip to main content

Haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN,

Haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN,
tohmateN, badnaamiyaaN, rusvaaiyaaN,
(karam-farmaaiyaaN : favours)

zindagii shaayed isii kaa naam hai,
duuriyaaN, majbuuriyaaN, tanhaaiyaaN,

kyaa zamaane meN yuuN hii kaTtii hai raat,
karvateN, betaabiyaaN, angRaaiyaaN,

kyaa yahii hotii hai shaam-e-intizaar,
aahaTeN, ghabraahaTeN, parchhaiyaaN,

aik paikar meN simaT kar rah gayiiN,
KhuubiyaaN, zebaaiyaaN, raanaaiyaaN,
(paikar : appearance; zebaaiyaaN :
 gracefulness; raanaaiyaaN : beauty)

zaKhm dil ke phir hare karne lagiiN,
badliyaaN, barkhaa ruteN, purvaaiyaaN,

“Kaif” paida kar samandar kii tarah,
vus’ateN, KhaamoshiyaaN, gahraaiyaaN.
(vus’ateN : expanse)

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.