Skip to main content

Jism sehra hochuke hain zehan banjar hogaye

Jism sehra hochuke hain zehan banjar hogaye 
hum kahan zinda hain dekho hum to patther hogaye

aankhen qehat e aab se weeran hoti jati hain
yani mausam hi dukhon k ab muqadder hogaye 

shehar main ik behisi ki rou chali hai in dinon
Aashnaa na Aashna sab hi baraber hogaye

baad ik muddat k jab dekha use to khud bakhud
zehan main roshan gaye lamhon k manzer hogaye

aise doobey hain k ab apna nishaan milta nahin
Aagahi k zakhm bhi gehrey samander hogaye


Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.