Skip to main content

Kariyaa-e-jaan men koii phuul khilaane aaye

Kariyaa-e-jaan men koii phuul khilaane aaye
vo mere dil pe nayaa zaKhm lagaane aaye

mere viiraan dariichon men bhii Khushbuu jaage
vo mere ghar ke dar-o-baam sajaane aaye

us se ik baar to ruuthuun main usii kii maanind
aur merii tarah se vo mujh ko manaane aaye

isii kuuche men kaii us ke shanaasaa bhii to hain
vo kisii aur se milane ke bahaane aaye

ab na puuchhuungii main khoye hue Khvaabon kaa pataa
vo agar aaye to kuchh bhii na bataane aaye

zabt kii shahar-panaahon kii mere maalik Khair
Gham kaa sailaab agar mujh ko bahaane aaye

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.