Kyon Ziaan kaar banun, sood framosh rahoon? Fikr-e-farda na karum, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon, Naale bulbul ke sunoon, aurhama tan gosh rahoon, Hamnawa main bhi koi gul hoon ke khamosh rahoon? Jurrat aamoz miri taab-e-sakhun hai mujhko, Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko. Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le, Khu gar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le. Thi tau maujood azal se hi tiri zaat-e-qadim, Phool tha zeb-e-chaman, par na pareshan thi shamim; Shart insaaf hai, ai, sahib-e-altaf-e-amim, Boo-e-gul phailti kis tarah jo hoti na nasim? Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzir, Kahin masjood the pather, kahin maabood shajar, Khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insaan ki nazar, Maanta phir koi un-dekhe Khuda ko kyonkar? Tujhko maalum hai leta tha koi naam tira? Quwwat-e-baazoo-e-Muslim ne kiya Kaam tira! _______________ Bas rahe the yahin salijuq bhi, toorani bhi, Ahl-e-chin cheen mein, Iran mein sasaani bhi, Isi maamoore mein aabad the Yunaani b...