Haspaniya tu khun E musalmaN ka amiN hai


Haspaniya tu khun E musalmaN ka amiN hai 
Manind E heram pak hai tu meri nazar maiN

Poshida teri khak main sajjdoN k nishan hai
Khamosh azane E hain bad E sehar main

Raoshun thi N sitaron ki tarah in ki sanan E
Khim E the kabhi jin k tere kowa O kamar maiN

Phir tere hasino ko zarurat  hai hena ki 
Baqui hai abhi rang mere khun E jigre maiN

Kyun kar khas O khashak se dab jye musalman
Mana wo tabo tab nahi hai is ke sharar main

Gharnata bhi deakh hai meri aakhoN ne wlekin 
Taskin E musafir na safur main na hazar main

Deakha bhi dikhaya bhi sunaya bhi suna bhi 
Hai dil ki tassalli na nazar main na khaber main