Kab tak akhir hum sey apney dil ka bhed chupaoo gee
Tumhein rah per aik din ana hey tum rah per aa hi jaoo gee
Kiyoon chehra utra utra hey? Kiyoon bhujhi bhujhi si ankhein hein
Sunoo ishq to aik haqeeqat hey issey kab tak tum jhutlaoo ge
Sab raang tumharey janta hoon main khoob tumhein pechanta hoon
Kha kab tak paas na aoo gee khao kab t ak ankh churaoo gee
Bhala kab tak hum aik dosrey ko chup chup ker dekhein ore tersain
Hamein yaar sataein gein kab tak tum sakhiyun sey shermaoo gee
Yeh saar-o-tani, mehshar badni, gul pehrahni gohar sukhni !
Sab husan tumhara be-qimaat gar hum sey daad na paoo gee
Jab khel hi khela shuloon ka phir aoo koi tadbeer karein
Yeh zakhm kahan tak khaien gein tum ghum kab tak apnaoo gee
Main shair hoon merey shair mujhey kisi taj mehal sey kam to nahi
Main shahjahan-e-shair to tum mumtaz mehal kehlaoo gee
Nahi paas kiya gar ishq ka kuch ore darein na zalim duniya sey
Shair per bhi ilzaam ayein gein tum bhi ruswa ho jaoo gee