Skip to main content

MUSLIM NE TAMEER KIA APNA HARAM OR


MUSLIM NE TAMEER KIA APNA HARAM OR
TEHZEEB KE AZAR NE TARASHWAE SANAUM OR

IN TAZA KHUDAUN MEIN BARRA SAB SE WATAN HAY
JO PERHAN IS KA HAY WO MAZHAB KA KAFAN HAY

YEH BU’T KE TARASHEEDA’E TEHZEEB’E NAV’EE HAY
GHARAT GARE KASHANA’E DEEN’E NABAVI(PBUH) HAY

BAZOO TERA TOHID KI QOOAT SE QAVI HAY
islam TERA DES HAY TU mustafavi HAY

NAZARA’E DEREENA ZAMANE KO DIKHA DE!!!!
AE MUSTAFAVI KHAK MEIN IS BU’T KO MILA DE!!!

HO QA’DE MUQAMI TO NATEEJA HAY TABAHI
REH BEHAR MEIN AZAD’E WATAN SOORAT’E MAHI

HAY TARKE WATAN SUNNAT’E MAHBOOB’E ILAHI(PBUH)
DE TU BHI NABUWAT KI SADAQAT PE GAVAHI

GUFTAR’E SIASAT MEIN WATAN OR HI KUCH HAY
IRSHAD’E NABUWAT MEIN WATAN OR HI KUCH HAY

AQWAME JAHAN MEIN HAY RAQABAT TO ISI SE
TASKHEER HAY MAQSOODE TIJARAT TO ISI SE

KHALI HAY SADAQAT SE SIASAT TO ISI SE
KAMZOR KA GHAR HOTA HAY GHARAT TO ISIS SE

IQWAM MEIN MAKHLOOQ’E KHUDA BAT’TI HAY IS SE
qomee’at’e islam KI JAR KAT’TI HAY IS SE

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.