Chin O arab hamara hindustaN hamara


Chin O arab hamara hindustaN hamara 
Muslim haiN hum watan sara jahaN hamara

Tauheed  ki amanat sin O main hai hamare 
AasaN nahi mitana nam O nishaN hamara

DuniyaN k but kadoN mai phahla wo ghar khuda ka 
Hum is k pasbaN haiN wo pasbaN hamara

TighoN k sayee main hum pal kar  jawaN huyeN haiN
Khanjer helal ka hai koumi nishaN hamara

Magrib main diwarooN main gunji azaN hamari
Thamta na tha kisi se sil E rawaN hamara

Batil se dabne wale ai aasmaN nahiN hum 
Saw bar kar chuka hai tu imtehaN hamara

Ai gulistan E  undulus woh din hai yad tujh ko 
Tha teri daliyoN main jab aashyaN hamara

Ai mauj E dajla ; tu bhi pahchanti hai hum ko 
Ab tak tere darya main afsaNa khah hamara

Ai arz E pak ;teri hurmat pe kat mareN hum 
Hai khuN teri ragooN main ab tak rawaN hamara

Salar E karwaN hai MIR_E HEJAZ apna 
Is nam se hai baqui aaram E jaN hamara

Iqbal ka tarana bang E dara hai goya
Hota hai jada paimaN phir karwaN hamara