Skip to main content

Tum aisi muhabbat mat kerna


Tum aisi muhabbat mat kerna
Khuwaboon main chehra dekho
Ore
Merey qaiel ho jaoo
Merey lafzoon main wo baat sunoo
Jo baat lahoo ki chahat ho
Phir uss chahat main kho jaoo

Tum aisi muhabbat mat kerna

Yeh lafz merey yeh khuwab merey
Socho , yeh bhi to mumkin hey 
Sab jhootey hoon

Tum aisi muhabbat mat kerna
Ger karo muhabbat to aisi 
Jis terhan koi sachaii ki rou her jhoot ko sach ker jati hey

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng