Skip to main content

Dukh bhari apni kahani jo sona di hum ne


Dukh bhari apni kahani jo sona di hum ne, 
Daikh ai shakhs ! tujhe kaise sazadi hum ne, 

Bansuri bol rahi  thi kih idher aa jauo,
Us ki awaz mein awaz mila di hum ne, 

Bat itni thi ki hum phoolon se mismar huay,
Le tujhe  itni si ek bat bta di hum ne, 

Be khta hai to use kiyon hai nidamat itni,
Apne hi ghar ko agar aag laga di hum ne 

Ab to yon lagata hai ai gerdishe paihum jaise,
Umr sari kisi khamein mein bita di hum ne.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng