Aasman Ho Ga Sehar Ke Noor Se Aaeena Posh
Aur Zulmat Raat Ki Seemab Pa Ho Jaye Gi
Iss Qadar Ho Gi Tarannum Aafreen Baad-e-Bahar
Nukhat-e-Khawabeeda Ghunche Ki Nawa Ho Jaye Gi
Aa Milain Ge Seena Chakaan-e-Chaman Se Seena Chaak
Bazm-e-Gul Ki Hum-Nafas Baad-e-Saba Ho Jaye Gi
Shabnam Afshani Meri Paida Kare Gi Souz-o-Saaz
Iss Chamanki Har Kali Dard Ashna Ho Jaye Gi
Dekh Lo Ge Sitwat-e-Raftar-e-Darya Ka Ma’al
Mouj-e-Muztar Hi Isse Zanjeer Pa Ho Jaye Gi
Phir Dilon Ko Yaad Aa Jaye Ga Paigham-e-Sujood
Phir Jabeen Khak-e-Haram Se Aashna Ho Jaye Gi
Nala-e-Sayyad Se Hon Ge Nawa Saman-e-Tayoor
Khoon-e-Gulcheen Se Kali Rangeen Qaba Ho Jaye Gi
Ankh Jo Kuch Dekhti Hai, Lab Pe Aa Sakta Nahin
Mehw-e-Hairat Hun Ke Dunya Kya Se Kya Ho Jaye Gi
Shab Gurezan Ho Gi Akhir Jalwa-e-Khursheed Se
Ye Chaman Maamoor Ho Ga Naghma-e-Touheed Se
Allama Iqbal