Skip to main content

Hum rahi aisi rahoon key jin ki koi manzil hi nahi


Hum rahi aisi rahoon key jin ki koi manzil hi nahi
Yeh jeewan piyaas ka sehra hey ore sir per koi badal hi nahi

Janey k liye her rut aai rehney ko hey bas yeh tanhai
Aik umer ka roag na ho jaye yeh pal do pal ki sachcaii
Sada yeh ankhain sapney dekhein aaney waley zamanoon key

Hum rahi aisi rahoon key

Jo chehra ankhoon main aye soo khuwab naye dikh la jaye
Jo sath chaley wo miley nahi jo bicher gaye wo yaad aye
Manzil manzil dhoond rahey hein khuwab apney armanoon key

Hum rahi aisi rahoon key jin ki koi manzil hi nahi
Yeh jeewan piyaas ka sehra hey ore sir per koi badal hi nahi

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng