Skip to main content

Dua dua wo chehra


Dua dua wo chehra
Hayea hayea wo ankhain
Saba saba wo zulfain
Chaley lahoo gerdish main 
Rahey ankh main dil main
Basey merey khawaboon main
Jaley akeley pan main
Miley her aik mehfil main
Dua dua wo chehra
Khabhi darakht key neechey
Khabhi wo hath pakrey
Khabhi hawa sey dertey
Khabhi wo wo barish ander
Khabhi wo maouj samander
Khabhi wo sooraj dahltey
Khabhi wo chaand nikaltey
Khabhi wo khyal ki rao main
Khabhi wo chiraag ki loa main
Dua dua wo chehra
Khabhi saja huwa aainey main
Khabhi dua bana wo zeeny main
Khabhi apney app sey jangoon main
Khabhi jeewan tarngoon main
Khabhi naghma noor fizaoon main
Khabhi maula hazzor duaoon main
Khabhi rukey hoye kisi lamhey main
Khabhi dukhey hoye kisi chehrey main
Wahi chehra bolta rehta hoon
Wahi ankhain sochta rehta hoon

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng