Us ka khuraam dekh le jaya na jayega,
Aye kabak phir bahal bhi aya na jayega !
Hum kushtgaan e ishq hain aabru o chashm e yar
Sar se hamare tegh ka saya na jayega !
Hum rehrwan e rah e fana hain, barang e Umr,
Jawenge aise khooj bhi paya na jayega !
Phora sa sari rat jo pakta rahega dil,
To subh tak to hath lagaya na jayega !
Apne shaheed e naz se bas hath utha kar phir,
Deewan e hashr bhi use laya na jayega !
Ab dekh le ke seena bhi taza hawa hai chaak,
Phir hum se apna haal dikhaya na jayega !
Go bastiyon ko taal de aage se kohkan,
Sang e giran e ishq uthaya na jayega !
Yaad uski itni khoob nahi Meer baaz aa,
Nadaan! phir wo ji se bhulaya na jayega !!