Guzro na is tarah ke tamaasha nahee hooN main


Guzro na is tarah ke tamaasha nahee hooN main
Samjho ke ab hooN aur dobaara nahee hooN main


Tum ne bhi mere saath uthaaye hain dukh bahut
Khush hooN ke raah-e-shaq mai tanha nahee hooN main


Peeche na bhaag waqt ki ai nashanaas dhoop
Saayon ke darmiyaan hooN saaya nahee hoon main


Jo kuchh bhi hooN mai apni hi soorat mai hooN Aleem
Ghalib nahee hooN Miir-o-Yagana nahee hooN main