Skip to main content

Wo har maqam se pahale wo har maqam ke bad


Wo har maqam se pahale wo har maqam ke bad 
Sahar thi sham se pahale sahar hai sham ke bad

Har inqalab e mubarak har inqalab e azab 
Shikast e jam se pahale shikast e jam ke bad

Mujh pe itani tawajjo mujh se itana gurez 
Mere salam se pahale mere salam ke bad

Charag e bazm e sitam hain hamara hal na puuch 
Jale the sham se pahale bujhe hain sham ke bad

Ye rat kuch bhi nahin thi ye rat sab kuch hai 
Tuluu e jam se pahale tuluu e jam ke bad

Wahi zuban wahi baten magar hai kitana farq 
Tumhare nam se pahale tumhare nam ke bad

Hayat giriya e shabanam hayat raqs e sharar 
Tere payam se pahale tere payam ke bad

Ye tarz e fiqr ye rang e sukhan kahan `qabil`
Tere kalam se pahale tere kalam ke bad

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng