Silsilaa chhiR gayaa jab Yaas ke fasaane kaa
shamaa gul ho gayee dil bujh gayaa parvaane kaa
vaae hasrat ki taalluq na huaa dil ko kahiiN
na to Kaabe ka huaa main na to sanam-khaane kaa
Khilvat-e-naaz kujaa aur kujaa ahl-e-hawas
zor kyaa chal sake faanuus se parvaane kaa
vaah kis naaz se aataa hai teraa daur-e-shabaab
jis taraH daur chale bazm meN parvaani kaa