Skip to main content

Hairato.n ke sil_sile soz-e-nihaa.N tak aa gaye,


Hairato.n ke sil_sile soz-e-nihaa.N tak aa gaye, 
ham nazar tak chaahate the tum to jaa.N tak aa gaye, 

naamuraadii apanii qismat gum_raahii apanaa nasiib,
kaaravaa.N kii Khair ho ham kaaravaa.N tak aa gaye

un kii palako.n par sitaare apane ho.nTho.n pe ha.Nsii 
qissaa-e-Gam kahate kahate ham kahaa.N tak aa gaye,

apanii apanii justajuu hai apanaa apanaa shauq hai,,
tum ha.Nsii tak bhii na pahu.Nche ham fuGaa.N tak aa gaye,

zulf me.n Khushbuu na thii yaa rang aariz me.n na thaa ,
aap kis kii aarazuu me.n gulistaa.N tak aa gaye, 

raftaa raftaa rang laayaa jazbaa-e-Khaamoshii-e-ishq
vo taGaaful karate karate imtihaa.N tak aa gaye,

Khud tumhe.n chaak-e-girebaa.N kaa sha_uur aa jaayegaa ,
tum vahaa.N tak aa to jaao ham jahaa.N tak aa gaye 

aaj 'Qabil' maikade me.n inqalaab aane ko hai,
ahal-e-dil andeshaa-e-suud-o-ziyaa.N tak aa gaye.


Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.