ata hai yad mujhko guzra hua zmana
wo bagh ki baharen wo sab ka chahchahana
azadyan kahan wo ab apne ghonsle kia
apni khushi se ana apni khushi se jana
lagti hai chot dil per ata hai yad jis dam
shabnam ke ansuon per kalyon ka muskurana
wo pyari pyari surat wo kamni si murat
abad jis ke dam se tha mera ashyana
ati nahi sadayen us ki mere qafs me
hoti meri rehayee aey kaash mere bus me
kia badnasib hun main ghar ko taras raha hun
sathi to hain watan me main qaid me pada hun
ayee bahar kalyan phoolon ki hans rahi hain
mai is andhere ghar me qismat ko ro raha hun
is qaid ka ilahi dukhda kise sunaun
dar hai yehin qafs me main gham se mar na jaun
jab se chaman chuta hai ye hal ho gya hai
dil gham ko kha rha hai gham dil ko kha rha hai
gana ise samjh ker khush hon na sunne wale
dukhe hue dilon ki faryad ye sada hai
azad mujhko kar de o qaid karne wale
mai be zuban hun qaidi tu chorker dua le
Allama Iqbal