MasarratoN ko ye ahl-e-havas na kho dete
jo har Khushii meiN tire gham ko bhii somo lete
KahaaN vo shab ki tire gesuoN ke saaye meiN
Khayaal-e-subah se ham aasteeN bhigo lete
bahaane aur bhii hote jo zindagii ke liye
ham ek baar tirii aarzuu bhi kho dete
bachaa liyaa mujhe tuufaaN kii mauj ne varnaa
kinaare vaale safinaa miraa dubo dete
jo dekhtee miree nazaroN pe bandishoN ke sitam
jo yeh nazaare mirii bebasii pe ro dete
kabhii to yuuN bhii umaRte sarashak-e-gham "Majrooh"
ki mere zaKhm-e-tamanna ke daagh dho dete