Skip to main content

Mujhe dil kii Khataa par 'Yaas' sharmaanaa nahii.n aataa,


Mujhe dil kii Khataa par 'Yaas' sharmaanaa nahii.n aataa,
paraayaa jurm apane naam likhavaanaa nahii.n aataa,

buraa ho paa-e-sar_kash kaa ki thak jaanaa nahii.n aataa,
kabhii gum_raah ho kar raah par aanaa nahii.n aataa,

[paa-e-sar_kash=disobedient feet]

mujhe ai naaKhudaa aaKhir kisii ko muu.Nh dikhaanaa hai,
bahaanaa kar ke tanhaa paar utar jaanaa nahii.n aataa,

[naaKhudaa=boatsman]

musiibat kaa pahaa.D aaKhir kisii din kaT hii jaayegaa,
mujhe sar maar kar teshe se mar jaanaa nahii.n aataa,

[teshe=axe]

asiiro shauq-e-aazaadii mujhe bhii gud_gudaataa hai,
magar chaadar se baahar paa.Nv phailaanaa nahii.n aataa,

[asiiro=prisoners]

dil-e-behausalaa hai ik zaraa sii Tiis kaa meh_maa.N,
vo aa.Nsuu kyaa piyegaa jis ko Gam khaanaa nahii.n aataa.


Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.