Skip to main content

Aziz itana hi rakho key jii sanmbhal jaye




Aziz itana hi rakho key jii sanmbhal jaye 
abb is qadar bhi na chaho key dam nikal jaye 

miley hain yoon to bahut aao ab milen yoon bhi 
key rooh garmi-e-nafaas sey pighal jaye 

muhabbaton main ajab hai dilon ko dharaka saa 
key jaane kaun kahan rasta badal jaaye 

rahey wo dil jo tamana-e-taza tar main rahey 
Khushaa wo umer jo Khwabon hi main bahal jaaye 

main wo charag-e-sar-e-rahaguzar-e-duniya hoon 
jo apanii zaat kii tanhaiyon main jal jaaye 

har aik lahajaa yahi aarazoo yahi hasarat 
jo aag dil main hai wo sheher main bhi dhal jaaye

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.