Dil se jo baat nikalti hai, asar rakhti hai,
Par nahin, taaqat-e-parwaaz magsr rakhti hai.
Qudsi-ul-asal hai, rif-atpe nazar rakhti hai,
Khaak se uthti hai, gardoon pe guzar rakhti hai.
Ishq tha fitna gar-o-sarkash-o-chalaak mira,
Aasman cheer gaya nala-e-bebaak mira.
_______________
Pir-e-gardoon ne kaha sun ke, kahin hai koi!
Bole sayyaare, sar-e-arsh-e-barin hai koi!
Chaand kahta tha, nahin, ahl-e-zamin hai koi!
Kahkashaan kahti thi, poshida yahin hai koi!
Kuchh jo samjha tau mere shikwe ko Ruzwan samjha,
Mujhe jannat se nikala hua insaan samjha.
_______________
Thi farishton ko bhi hairat, ke yeh aawaaz hai kya!
Arsh waalon pe bhi khulta nahin yeh raaz hai kya!
Taa sar-e-arsh bhi insaan ki tag-o-taaz hai kya?
Aa gai khak ki chutki ko bhi parwaaz hai kya?
Ghaafil aadaab se yeh sukkaam-e-zamin kaise hain,
Shokh-o-gustaakh yeh pasti ke makin kaise hain,
_______________
Is qadar shokh ke Allah se bhi barham hai,
Tha jo masjud-e-malaik yeh wohi Aadam hai?
Aalam-e kaif hai, dana-e-ramuz-e-kam hai,
Haan, magar ijaz ke asrar se namahram hai.
Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko,
Baat karne ka saliqa nahin nadaanon ko!
_______________
Aai aawaaz ghum-angez hai afsana tira,
Ashk-e-betaab se labrezhai paimana tira.
Shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne,
Hum sakhun kar diyabandon ko khuda se tu ne.
Hum tau mayal ba-karam hai, koi sayal hi nahin,
Rah dikhlain kise rahraw-e-manzil hi nahin.
_______________
Tarbiat aam tau hai, jauhar-e-qabil hi nahin,
Jis se taamir ho aadam ki yeh who gil hi nahin.
Koi qabil ho tau hum shan-e-kai dete hain;
Dhoondne waalon ko duniya bhi nai dete hain!
Haath be-zor hain, ilhaad se dil khoo-gar hain,
Ummati baais-e-ruswai-e-paighamber hain.
_______________
But-shikan uth gaye, baaqi jo rahe but-gar hain,
Tha Brahim pidar, aur pisar Aazar hain.
Bada aasham naye baaqi naya khum bhi naye,
Harm-e-Kaaba naya, but bhi naye, tum bhi naye.
Who bhi din the ke yehi maya-e-raanai tha,
Naazish-e-mausim-e-gul lala-e-sahraai tha!
_______________
Jo Musalmaan tha Allah ka saudai tha,
Kabhi mehboob tumhara yehi harjaai tha.
Safah-e-dahar se baatil ko mitaya kis ne?
Nau-e-insaan ko ghulami se chhuraya kis ne?
Mere Kaabe ko jabeenon se basaya kis ne?
Mere Quran ko seenon se lagaya kis ne?
_______________
The tau aaba who tumhaare hi, magar tum kya ho?
Haath par haath dhare muntezir-e-farda ho!
Kya kaha? “bahr-e-musalmaan hai faqt waade-e-hur,”
Shikwa beja bhi kare koi tau laazim hai shaoor!
Adal hai faatir-e-hasti ka azal se dastur,
Muslim aaeen hua kafir tau mile hur-o-qasur;
_______________
Tum mein hooron ka koichahne wala hi nahin,
Jalwa-e-tur tau maujood hai, Moosa hi nahin.
Munfait ek hai is qaum ki, nuqsaan bhi ek,
Ek hi sab ka nabi, din bhi, imaan bhi ek,
Harm-e-paak bhi, Allah bhi, Quran bhi ek,
Kuchh bari baat thi hote jo musalmaan bhi ek!
_______________
Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaaten hain.
Kya zamane mein panpaneki yehi baaten hain?
Jaa ke hote hain masaajid mein saf-aara tau gharib,
Zahmat-e-roza jo karte hain gawara tau gharib.
Naam leta hai agar koi hamara, tau gharib,
Pardah rakhta hao agar koi tumhara, tau gharib.
_______________
Umra nasha-e-daulat mein hain ghafil hum se,
Zinda hai millat-e-baiza ghurba ke dam se.
Shor hai ho gaye duniya se musalmaan naabood,
Hum yeh kahte hain ke the bhi kahin Muslim maujood?
Waza mein tum ho nisari, tau tamuddan mein Hanood,
Yeh musalmaan hain! Jinhen dekh ke sharmain Yahud?
_______________
Baap ka ilm na bete ko agar azbar ho,
Phir pisar qabil-e-miraas-e-pidar kyonkar ho!
Har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan aasaani hai,
Tum musalmaan ho? Yeh andaaz-e-musalmaani hai?
Chaahte sab hain ke hon auj-e-surayya pe muqeem,
Pahle waisa koi paida tau kare qalb-e-salim!
_______________
Ahd-e-nau barq hai, aatish zan-e-har khirman hai,
Aiman is se koi sahra no koi gulshan hai.
Is nai aag ka aqwaam-e-kuhan eendhan hai,
Millat-e-khatam-e-rasal shoula ba parahan hai.
Dekh kar range-e-chaman ho na pareshan maali,
Kookab-e-ghuncha se shaakhen hain chamakne wali,
_______________
Khas-o-khashaak se hota hai gulistan khaali,
Gul bar andaaz hai khun-e-shuhda ki laali.
Rang gardoon ka zara dekh tau unnabi hai,
Yeh nikalte hue suraj ki ufaq taabi hai.
Nakhl-e-Islam namoona hai bro-mandi ka,
Phal hai yeh sainkron saalon ki chaman bandi ka.
_______________
Qaafila ho na sakega kabhi weeran tera,
Ghair yak baang-e-dara kuchh nahin samaan tera.
Nakhl-e-shama asti-o-dar should dood resha-e-tu,
Aaqbat soz bood saya-e-andesha-e-tu.
Ki Mohammed se wafa tu ne tau hum tere hain,
Yeh jahan cheez hai kya, lauh-eo-qalam tere hain.
_______________
Allama Sir Mohammad Iqbal