Skip to main content

Ik ajab raushni kitaab me'n hai


Ik ajab raushni kitaab me'n hai
Dekhta jaise koyee khawab me'n hai

Mai'n agar chandni ki qaid me'n hoo'n
Band to bhi to mahtab me'n hai

Kaun kahta hai zindagi meri
Ik bujhi shama saile aab me'n hai

Keya khabar thee mai'n dhoonta hoo'n jise
Wo chhupa hijla-e-gulaab me'n hai

Ahde peeri tamaam khawb-o-khayal
Juz kaho keya rakha shabab me'n hai

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.