Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2012

Meri Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga

Meri Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi....... Uss Nay Chaihray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy....... Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga... Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say.. Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga.. Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy........ Tu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.. Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tu Nay Jana......... Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.... Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.... Tu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga

Yaaro mujey moaaf rakho,main nashey main hoon

Yaaro mujey moaaf rakho,main nashey main hoon aab do to jaam khali hi do,main nashey main hoon ik aik farat-e-dor yuon hi mujey bhi do jaam-e-sharrab pur na kero,main nashey main hoon masti se darhumi hai meri guftagu ke beech jo chaho tum bhi muj ko kaho,main nashey main hoon ya haathoon haath lo mujey manad-e-jaam-e-mah ya thorri door saath chalo main nashey main hoon mahzur hoon jo payoon mara be tarha parrey tum sargardaan to muj se na ho,main nashey main hoon nazuk mazaj aap qayamat hain meer` jee joon shisha merey muu na lago,main nashey main hoon

muhabbat ke sagar chhalakane lage hain

muhabbat ke sagar chhalakane lage hain wo dil banake dil mein dharakane lage hain ye kaisi wafaon ki reet aa gai hai Khayalon mein ek beKhudi chaa gai hai qadam zindagi ke bahakane lage hain umangon ke phoolon se daman bhara hai mera khuwaab kaise haqeeqat bana hai nigaahon mein jugnoo jhamakane lage hain sitaaron se aage hai duniya wafa ki magar ham ne ki hai tamanna wafa ki jahan aaj hairat se takane lage hain

Insanoon ki is basti main

Insanoon ki is basti main pochatay hain jab log ya muj say tara is say kaya nata hai bathai chup sa rah jati hoon soch ki ro main bah jati hoon pochay koi nadanoon say baday-saba ko kabi kasi nay sahakl ka jama pahnaya hai phool or khushboo kay rishatay ko nam bala koi day paya hai

Tumharey gham ki dali utha k

Tumharey gham ki dali utha k Zubaa'n pe rakh li hey dekho mein ney, Ye qatra qatra pighal rahi hey.. Mein qatra qatra he gee raha hun Pighal pighal ker galey se utrey ga akhri qatra dard ka jab Mein saans ki akhri girah ko bhi khol doun ga K dard he dard ki mujhey tou Dua mili apni zindagi se

Badalti Rutoon se ghabra ker....

Badalti Rutoon se ghabra ker.... Aansoo'on se tang aa ker.... Ik rooz Main ne apney sarey khawab Apney kamrey ki deewaroon se keh daley.... Our ab main sota rehta hoon Deewarein rooti rehti hain

Aansu'on ki jahaan payamaali rahi

Aansu'on ki jahaan payamaali rahi Aisii bastii charaagon se Khaali rahi Dushman'on ki tarah us se larte rahe Apani chaahat bhi kitni niraali rahi Jab kabhi bhi tumhaara Khayaal aa gaya Phir kai roz tak bekhayali rahi Lab tarasate rahe ik hansi ke liye Meri kashti musaafir se Khaali rahi Chaand taare sabhi ham-safar the magar Zindagi raat thi raat kaali rahi Mere siine pe Khushbu ne sar rakh diyaa Merii baanho'on mein phuloon ki Daali rahi

Kash hum tum bhi ajnabi hotay

Kash hum tum bhi ajnabi hotay jaise dunya ke loag hotay hain lataluq wafa se begane itefaqan kabhi miljaye rah se katrake hum nikal jate na tasadum pe dil machal jata na muhabbat ke deep jal patay na yeh ghazlein kabhi mein likh pati na afsano ka silsila hota na muhabbat ke imtihan hotay ...

jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay

jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay jo rach jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai gamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam barastay badlon ki aas mein trsa nahi kertay tajasus aur berhta hai machal jatay hain sun ker hum achanak piyar ki baton ka rukh mora nahi kertay teri nazer e inayat say huay jatay hain jo ghayal unhain qatil nigahoon say kabhi dekha nahi kertay

kitne khabon ke mahal maine banaey lekin

kitne khabon ke mahal maine banaey lekin jab khuli ankh to koi bhi salamat na mila aaj phir aik naya qasr banane ke liye maine armanon ke madfan pe bina rakhi hai janta hun ke hamesha ki tarah yeh bhi mahal khak hojaega,gir jaega,mit jaega ek woh lamha-ey rahat ke talab hai jiski mere daman-e talab main na kabhi aeyga lekin is baar yeh socha hai ke is qasr ke sath main khud bhi mehfil-e hasti se guzar jaunga

gulzar-e-hast-o-boo na begaana waar dekh

gulzar-e-hast-o-boo na begaana waar dekh hai dekhane ki cheez ise bar bar dekh aaya hai to jahan mein misal-e-sharar dekh dam de najaye hasti-e-naapaaye daar dekh mana ke teri deed ke qabil nahin hoon main tu mera shauq dekh mera intazar dekh kholi hain zauq-e-deed ne aankhein teri to phir har rahaguzar mein naqsh-e-kaf-e-paay-e-yar dekh

taira jeevan...

taira jeevan... aur jeevan k saray lamhay in lamhoon k saray dukhray saray gham.......saray alam mairay dost ........ mairay nam.......... maira jeevan..... aur jeevan ki sari gharyaan in gharion ki sari khushian saray sukh.......saray aram mairay dost....... tairay nam.....

zakhm-e-tanhai me.n khushbu-e-hina kisaki thi

zakhm-e-tanhai me.n khushbu-e-hina kisaki thi sayaa dewar pay mera tha sada kisaki thi uski raftar se lipati rahi meri aankhain us ne mur kar bhi na dekha ki wafa kis ki thi waqt ki tarah dabe paon ye kaun aya hai main andhera jisay samajha woh qaba kis ki thi ansuon se hi sahi bhar gaya daaman mera hath to main ne uthaaye the dua kisaki thi meri aahon ki zaban koi samajhata kaise zindagii itani dukhi meray siva kisaki thi aag se dosti us ki thi jala ghar mera di gai kis ko saza aur Khata kisaki thi main ne biina_iyaa.N bo kar bhi andheray katay kis ke bas mein thi zameenn abr-o-hava kis kii thii chhor di kis liye tu ne "Muzaffar" duniyaa justjuu si tujhe har waqt bata kisakii thii

meri tasviir mein rang aur kisi kaa to nahin

meri tasviir mein rang aur kisi kaa to nahin gher le.n mujhako sab aake main tamaashaa to nahiin zindagii tujhase har ik saans pe samajhautaa karoon shauq jiine kaa hai mujhako magar itanaa to nahin rooh ko dard mila dard ko Ankhain na milii tujhako mahasoos kiyaa hai tujhe dekhaa to nahin sochatay sochatay dil Dobane lagataa hai mera zahan kii tah mein 'Muzaffar' koii dariyaa to nahin

Ghum apni mohabbat main dono, nayab ho tum nayab hain hum

Ghum apni mohabbat main dono, nayab ho tum nayab hain hum Kia hum ko khuli aankhain dekhain,ik khuwab ho tum ik khuwab hain hum Kia mehsher-khaiz. judai hai ,kia visal, qayamat ka ho ga Jazbaat ka aik sailab ho tum ,jazbaat ka aik sailab hain hum Ik hans purani yaadon ka betha hua kankar chunta hai Tapti hui hijar ki gharion main sookha hua talaab hain hum Ik waqt talatum-khaiz hain hun,gardish main tumhay bhi le lain gain Is waqt na tair aey kashti-ae-dil is waqt tau khud gardab hain hum Aey chashm-e-falak aey chashme-zameen!hum log tau phir anay kay nahi Do char ghari ka sapna hain, Do char ghari ka khuwab hain hum !!!!!

haath uthay hain magar lab pe dua koi nahin

haath uthay hain magar lab pe dua koi nahin ki ibadat bhi woh jis ki jaza koi nahin yeh bhi waqt ana tha ab to gosh har awaz hai aur mere barbad-e-dil main sada koi nahin aa ke ab tasleem kar lein tu nahin to main sahi kaun maneyga ke hum mein bevafaa koi nahin waqt nay woh Khak uraii hai ke dil ke dasht se qafiaye guzare hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahin Khud ko yun mahasur kar baitha hoon apani zaat mein manzilein chaaron taraf hai rastaa koi nahin kaise rastoon se chale aur kis jagah pahunchay 'Faraz' yaa hujoom-e-dostaan thaa saath yaa koi nahin

ter faraq ki lamhe shumar kartii howe

ter faraq ki lamhe shumar kartii howe bikar gai hai tera intezar kartii howe tu mai bhi kush hoon koi jaa ki usse keh de agar wo kush hai mujhe bekarar karte howe mai muskurata howa aane mai ubron ga wo roo pare gii achanak singaar kartii howe tumhe kabar hi nahi koi toot gaya hai muhobaat ko bohat paidar kartii howe wo keh rahi thi samandar nahi aankee hai mai doob gaya itebar karti howe tujhe khabar hai ab lot kar na aonga tujh ko yaad kiya dard par kartii howe

MAINE YE KAB CHAHA

MAINE YE KAB CHAHA KI TUM MERE BANOO KAB CHAHA MAINE KE TUMHARE SARE SAPNEE TUMHARE SARE JAZBAAT TUMHARE SAB KWAHISHAT TUMHARE SAB ARZOOYEE YAHA TAK KE TUMHARE DIL KI NIHAN KHANOO MAI CHUPII MUHABAATEIN SAB MERE HOON HAAN...........ALBATTA ITNI KHWAHISH HAI KE TUM MUJHE APNE TAMAM DUKH DE KAR MERE ZINDAGI KI HANSII LE LOO

guzartay lamho mujhay batao zindagi ka usool kia hay ?

guzartay lamho mujhay batao zindagi ka usool kia hay ? tamam haathon main aainay hain tau kon kis say chupa hua hay ? agar sada ka wujood kaano say munsalik hay tau kon khushboo main bolta hay? agar samander ki hud hai saahil tau kon aankhon main bolta hay? tamam cheezain agar yehi hain tau kon cheezon say mawra hay? kissay khabar badaltee rut nay puranay patt-to say kia kaha hay? yeh kon badal say ja kar poochay kay itnay mausam kahan raha hai ? jo aaj dekha hai kal na ho ga koi bhi lamha atal na ho ga guzartay lamho mujhay batao zindagi ka usool kia hay ?

us ney poocha

us ney poocha haath ki reeykhaoon per wishwas hai tumhara? mein ney kaha bus thoda thoda woh bola, dekhlana tu tehreer hai kya haathoon pey tumharey mein ney kaha choro jaaaney do, kya rakha hai in baatoon mein us ney jab israar kiya tu, mein ney muthee khol dekhai us ney haath ko thaama,,,dekha aur yeh bola cross buhut hain zayada is per waisay qismat buri nahi hai haath chura ker mein yeh boli,,, such kehtey hoo,, yun hi ho ga tab woh aahista sa bola such poocho tu, mein ney sab jhoot kaha hai qismat k is ellam sey mein bhi nawaqif hoon mein ney tu bus haaath tumhara chhona chaha.....

meray dil kaa ayena bikhra hua, toota hua!

meray dil kaa ayena bikhra hua, toota hua! iss main tujh ko aye gaa ab nazar kiya? main to dorra thaa teri talash main yay kahaan aya hoon? mujh ko khabar kiya? chahtoon ke beech main hain faslay chahtoon kaa ho gea hay hashar kiya? ab raha jaata nahi, bolloon gaa main taa abad karna parray gaa sabar kiya? chahta thaa piyar kee barish teri mujh say hee rootha hua hay abr kiya? teri mehfil main sabhee puhanchay huay mujh pay hee chalta hay tera jabr kiya? aakhri moqqa hay milnay kaliay dekhain piyar kee hay qadr kiya?

kia khata meri thy zalim tu nain kune tora mujhe

kia khata meri thy zalim tu nain kune tora mujhe kune na meri umar bhar ki shakh pe chora mujhe meri khushboo se bichai ga bichona raat bhar subha hogi phaink de ga tu khaak par patiyan urti phireen gy kho jain gy rafta rafta khak mein miljain gy tu nain meri jaan li dam bhar ki zeenat ke lyay ki jafa mujh se faqat thori si farhat ke lyay gham se bhanwre royain ge aur bulbulain chilain gy jab woh laakh dhoondne ke bawajood mujh ko na pain gy koi kehta hai soch le samajh le maan le dil kisy ka torna accha nahin tu jaan le

Dil Ne Chaha Hai Tujhe Izhaar Nahi Kar Sakta ..!!

Dil Ne Chaha Hai Tujhe Izhaar Nahi Kar Sakta ..!! Tumhe PaaoO Kaise Iqraar Nahi Kar Sakta ..!! Is Gham-E-Dil Ki Haqeeqat Ko BayaaN Kaise KarOOn ..!! Maange Tu JaaN Bhi Agar ..!! Inkaar Nahi Kar Sakta ..!! Tujh Ko ChahoO Ya Kirdaar BanaaOn Apna ..!! Ishq DonO Se Hai Magar Izhaar Nahi Kar Sakta ..!! Dil MeiN Utri Teri Tasweer Bare Arse Se ..!! Baat Dil Ki Hai Magar Sartaaj Nahi Kar Sakta ..!!

niyat-e-shok bhar na jaey kaheen

niyat-e-shok bhar na jaey kaheen to bhi dil say utay na jaey kaheen aaj daikha hai tujhko bair k bad aaj ka din guzar na jey kahen na mila kar udas logon say husn taira bikhar na jaey kaheen arzo hai k to yahan aay or phir umer bhar na jaey kaheen g jalata hon or sochta hon raeygan ye hunar na jey kaheen aao kuch deer ro hi lain phir ye darya uter na jaey kaheen...

Tumhara naam likhney ki ijaazat chin gaee jab sey

Tumhara naam likhney ki ijaazat chin gaee jab sey Qalam haathoon ko bura lagney laga hey Tumhein dekhne ki ijaazat chin gaee jab sey Noor aankhoon ko bura lagney laga hey Tumhein chooney ki ijaazat chin gaee jab sey Har lams merey jism ko bura lagney laga hey Tumhein paaney ki ijaazat chin gaee jab sey Apna hi wojood bura lagney laga hey Tumhein khoo kar bhi jee rahi hoon jab sey Naseeb hi apna bura lagney laga hey

Mujhay Dushmanoo Ki Khabar Na Thi

Mujhay Dushmanoo Ki Khabar Na Thi Mujhay Dostoon Ka Pata Na Tha Teri Dastaan Kuch Or Thee Mera Waqiya Kuch Or Tha Kabhi Lot Aain TO Poochna Nahin Dekhna Inhay Goor Say Jinhay Rasty Main Khabar Hoi K Yeh Rasta Koi Or Tha

Meri zindgee ke nisaab mein

Meri zindgee ke nisaab mein Wo jo raqem tha ik baab mein Chalo ajj uss ko bhula he dien Ye herf-E-ghalet bhi mitta he dien Jab mitta diya wohi ik sabaq To khaber hoi dil-e-nakhalaf Ke be-muani howey sabhi herf Ummr-e-rafta ke sunahri kitab mein Alfaz ke bey anat hisaab mein Wohi ik lafz intisaab tha Wo ik naam

Zindgii ke rahoon main chaar soo andhera hai

Zindgii ke rahoon main chaar soo andhera hai mun ke sooni wadi main kahmshi ka diara hai jittney khawab roshan they surmageen nigahoon mein jittney panchi urrtey they bheegti fizaoon mein kho gye hawaoo main andhioon ke rahoon mein ik hooo ka alem hai jo fiza pe tari hai tum ko apna kahney kee ye saza hamari hai haan ye khawahish hai phir se ye jahan badley phir se asmaan badley mera maherbaan badley mein karey safer main hoon khouf ke aser main hoon raat ke andherey main ajnabi nager main hoon phir bhi sath tera ho to na ho fiker muj ko haan ager jo too chahey to le chaley udder muj ko do qadam ke rastey pe ik niya sawera hai aik bar phir kah dey tu ab bhi mera hai

Meri Khatir Sahi

Meri Khatir Sahi Jub koi Saniha Zindagi ke dareechey muntaqil ker de... Jub koi hadisa Shaam-e-Ghum ke bujhey khal-o-khad ko mukammal ker de... Ik pal Beetey lamhoon ka ghum Bhool jaya karo... Meri Khatir Sahi Muskuraya Karo...

Bhaley Dinon ki baat hai

Bhaley Dinon ki baat hai Bhali si aik Shakal thi... Na yeh ke husn-e-taam ho Na deekhney mein aam si... Na yeh ke woh chaley tou, kehkishaan si rahguzar lagey Magar woh sath ho tou phir bhala bhala safar lagey... Koi bhi rut ho us ki chub fiza ka rung roop thi Woh garmion ki chaoon thi, Woh sardion ki Dhoop thi... Na aisi khush libaasian ke sadagi gila karey Na aisey be takallufi ke aina haya karey... Na aashqi janoon ki ke zindagi azaab ho Na is qadar kathoor pan ke zindagi kharaab ho... So ik rooz kia howa, wafa ki behas chirr gai Main ishq ko amar kahoon, Woh meri zidd se chirrd gai... Main ishq ka aseer tha, Woh ishq ko qafas kahey Ke umer bhar ke sath ko woh bad'taraz hawis kahey... Na us ko mujh pe maan tha, Na mujh ko us pe zoem hi... Jub ehad bhi koi na ho, Tou kia gham-e-shikastagi... So apna apna raasta hansi khushi badal liya Woh apni raah chal pari main apni raah chal para... Bhali si us ki shakl thi, Bhali si us ki Dosti Ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi....

Rang utterney main bohut dair lagi

Rang utterney main bohut dair lagi Dil thaherney main bohut dair lagi Teri ankhoon ke terah gahra tha Zakham bherney main bohut dair lagi Baat kerna thi zara see tujh sey Baat kerney main bohut dair lagi Kab samaita tha kissi ney mujh ko Kab bikherney main bohut dair lagi

Itni muddat baad milay ho!

Itni muddat baad milay ho! Kin sochon mien gum phirtay ho? Itnay khaif kion rahtay ho? Her aahat say darr jatay ho Taiz hawaa nay mujh say poocha Rait per kia likhtay rahtay ho? Kaash koi hum say bhi poochay Raat gaye tak kion jagay ho? Mien darya say bhi darta hon Tum darya say bhi gahray ho Kaun si baat hai tum mien aisi Itnay achay kion lagtay ho? Peechay murr kar kion dekha tha Patthar ban kar kia taktay ho Jao jeet ka jashan manao Mien jhoota hon tum sachay ho Apnay shahar kay saray logon say Meri khatir kion uljhay ho Kahnay ko rahtay ho dil mien Phir bhi kitnay duur kharay ho Raat humien kuch yaad nahi tha Raat buhut hee yaad aye ho Hum say na poocho hijar kay qissay Apni kaho abb tum kaisay ho Faraz tum badnaam buhut ho Jaisay ho phir bhi achay ho…

Mehak mein Saray haroof dho kar,

Mehak mein Saray haroof dho kar, Sana’e'Rab’e'Jalil likhun Taveel tar Se Taweel likhun Jamal likhun Jameel likhun usi ko uski daleel likhun Kahan nhi tha kahan nhi hai Muje bta Wo jahan nhi hai Azal Se hai ta’Abud rhey Ga Wo Aap Apni Sanad rhey Ga Wohi to hai La Sharik o Yakta Wo Sab ka Khaliq Wo Sab ka Aaqa Wo Sab k andr Wo Sab k bahir Wo Sab Se Aala Wo Sab Se bar tar Rahim o Rehman Sifaat uski Bari Karim hai zaat uski

soz-e-dil bhii nahii.n sukuu.N bhii nahii.n

soz-e-dil bhii nahii.n sukuu.N bhii nahii.n zindagaanii vabaal yuu.N bhii hai terii Khvaahish aur is qadar Khvaahish vajah-e-haasil sahii junuu.N bhii hai Khush bhii hai iltafaat-e-dost se dil Gairat-e-ishq sar niguu.N bhii hai jal ke bujh bhii ga_ii 'Zia' aksar aag siine me.n jyo.n kii tyo.n bhii hai

Main bhool jaaon tumhey, ab yehi munaasib hai

Main bhool jaaon tumhey, ab yehi munaasib hai Magar bhulanaa bhi chahoon tou kis tarah bhuloon Ke tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khawaab nahin... Yahaan to dil kaa ye aalam hai kyaa kahoon Kamabakht Bhulaa sakaa na ye woh silsila jo thaa hi nahin.. Woh ik Khayaal Jo aavaaz tak gayaa hii nahin.. Woh ek baat Jo main keh nahin sakaa tum se.. Woh aik rabt Jo hum mein kabhi rahaa hi nahin.. Mujhe hai yaad woh sab Jo kabhi hua hi nahin.. Agar yeh haal hai dil kaa to koi samajha'ey Tumhein bhulaana bhi chaahoon to kis tarah bhuloon Ke tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khawaab nahin

Andhiyoon main ik diya jalta rah jai ga

Andhiyoon main ik diya jalta rah jai ga Mein guzer jaoon ga mera naqsh_e- paa rah jai ga Khawahishoon ke sab prinday shor se urr jain gey Tu khara khamosh yoon he dekhta rah jai ga Herf jab mittney lagien tum dekhna auwraq (pages) per Khoon_e_dil se jo likha ho ga likha rah jai ga Bed gumaan ho ker bicherney ka uss key ghum na ker Ab to mil ker bhi diloon main fasla rah jai ga

Woh Nazar Kiyun Idhar Nahin Hoti

Woh Nazar Kiyun Idhar Nahin Hoti Zindagi Ab Basar Nahin Hoti Itna Uljha Raha Khayalon Mein Mujhko Apni Khabar Nahin Hoti Chahta Hoon Miloon Main Ghazlon Se Koi Surat Magar Nahin Hoti Chahta Hoon Mujhe Bhi Saya Mile Par Nigahe Shajar Nahin Hoti Rat Se Ho Gaya Hai Koi Gunah Kyun Abhi Tak Sahar Nahin Hoti Ghar Pahunchte Na Ye Parinde Bhi Shaam Duniya Mein Gar Nahin Hoti Usko Pahchaanta Kahan 'Tabish' Gul Mein Khushboo Agar Nahin Hoti.

Aap yun na daaman churraa ke jaaiye

Aap yun na daaman churraa ke jaaiye aakhir mera kasoor to bataa ke jaaiye nahin jeena manzoor hame aapke bagair agar jaana hai humko mitaa ke jaaiye poochenge mujhse log naam qaatil ka ye naqaab chehre se hataa ke jaaiye kisne tode hain phool mere khwabon ke naam to mere raqeeb ka bataa ke jaaiye dekhiye phir tanhaa reh jaaongee main ik chiraag to mazaar par jalaa ke jaaiye toote dil se bhi tumko duaayen denge na hoyiye udaas , muskuraa ke jaaiye.

Jab yaad mujhe who aata hai jab dil ko mere tarpaata hai

Jab yaad mujhe who aata hai jab dil ko mere tarpaata hai Jab us kee judai sehtee hon Mein tanha tanha rehtee hon Baton mein aur khayalon mein who rehta hai meree sanson mein Us ko hee sochtee rehtee hon Mein tanha tanha rehtee hon Who kuch bhi nahin lagta phir kion Ye jaan mein us per detee hon Mein tanha tanha rehtee hon Ye dil kia hai ye jaan kia hai gar maang le who meree dadhkan Mein khoshee se us ko detee hon Mein tanha tanha rehtee hon Ik pal kia hai ik din kia hai who kahe to saara jeevan mein Sirf us ke liye kar detee hon Mein tanha tanha rehtee hon Koi wafa nahin koi ata nahin who saath rahe yun hee har pal Ye dua mein rab se kartee hon Mein tanha tanha rehtee hon Is dil ka koi intesaab na tha is jeevan mein koi khawab na tha Ab shukar hazaaron kartee hon Mein tanha tanha rehtee hon

Itna hi yad rakha mujhay

Itna hi yad rakha mujhay Jaisay Kisi kitab main Bitay dinoon kay dost ka Aik khat para huwa milay Lafz mitay mitay say hoon Rang URA URA sahi Lakin who ajnabi Na ho Uth kar tairay galay lagay Bhoolay huway tamam dukh Guzray huway tamam such Beetay huway dinoon ki sab katha Tujh say kahay or ro paray Itna hi yad rakha mujhay Beetay dinoon kay dost ka Jaisay kay koi khut hoon main Rakha huwa kitab main

pyar may hum ne kia paya tha jo bhi tha ab janay do

pyar may hum ne kia paya tha jo bhi tha ab janay do kia samjhaein kia qissa tha jo bhi tha ab janay do nazrain sub kehti sunti thein hum dono chup rehtay thay Do nazroan ka aisa naaata toota tha kab janay do hum apnay munn bhed batatay per tum ne kub dhyaan dia hontoan ko hum nay jab si dala aayay ho tabb janay do sannatay kehtay hain mujh se jao ja ker so jao koi nahee hay anay wala beet gayee shabb jane do

Maan mujhy neend nahi aati

Maan mujhy neend nahi aati Ik mudat se mujhy neend nah aati Maan! mujhy lori sunao naa Maan!mujhay neend nahi aati ratjagay ab tu muqadar hain miri palkon kay neend aye tu liye ati ha baghdad ki yaad ankh lagtay hi koi baiwa utha daity hai pait kitna hi bharon bhook nahi mitty hai jaltay basra ki mujhy pyas jaga daity hai koi kandhar ki wadi se bulata hai mujhy zikr kandoz ka aye tu mujhy lagta hai kat kay sar koi hansta hai , jalata hai mujhy bam ki awazain mujhy kuch nahi kehti hain magar zkhm in bachon kay sonay nahi daitay hain mujhy mairay seenay par rakho hath rulaa do na mujhy _ _ _ Maan mujhy lori sunao na Sula do na mujhy Maan mujhy neend nahi aati Ik mudat se mujhy neend nahi aati

us ki ankh maen naami pehlay say thi

us ki ankh maen naami pehlay say thi ek ghazal woh an kahi pehlay say thi mujh say mill kar khush hoa kaisay kahein us k honton par hansi pehlay say thi kuch toh us ka husn lay duba mujhay kuch meri awargi pehlay say thi meray janay say pehlay hoa charcha bohat yun toh ruswa woh gali pehlay sat thi maen nay dekha samandar ka sukot meray andar khamishi pehlay say thi apni barbadi ka kioun matam karon meray andar khudgarzi pehlay say thi hijratain mera muqadar hein magar admi mein be-ghari pehlay say thi us say mil kar kioun mujhay aisa laga us say meri dosti pehlay say thi woh aina tamasil tha magar shehar mein be- chehargi pehlay say thi

Hamesha Deir Kar daita Hoon

Hamesha Deir Kar daita Hoon .. Hamesha deir kar daita hoon mein hur kaam karney mein Zaroori baat kehni ho koi wada nibhana ho Usay awaz daini ho usay wapis bulana ho Hamesha deir kar daita hoon mein Madad karni ho us ki, Yaar ki dharas bandhana ho Boohat dareena rastoon per kisi sai milna jana ho Hamesha deir kar daita hoon mein Badaltay mosamoom ki sair mein dil ko lagana ho Kisi ko yaad rakhna ho, kisi ko bhool jana ho Hamesha deir kar daita hoon mein Kisi ko muat sai pehlay Kisi gham sai bachana ho Haqeeqat aur thi kuch Us ko ja kay batana ho Hamesha deir kar daita hoon mein

Ek baat kahoon gar sunti ho?"

Ek baat kahoon gar sunti ho?" chalo rehnay do yay behtar hay main chup hee rahoon main kuch naa kahoon! jo baat naa mani jati hay uss ko kehnay kaa kea matlab? yay socha tha ke millain gay hum or kea kea sapnay dekhay thay kea kea battain sochee theen! Meray dil main thaa ke hath thaam ke bolloon gaa kuch dair tumhari aankhon main kuch kahay bina hee dekhonn gaa or phir apnay labb kholoon gaa haan boloon gaa wo sari battain keh doon gaa wo saray shikway kar doon gaa main keh doon gaa........ sab keh doon gaa kehna thee mujh ko aik hee baat ek hasti meray dil main hay har tanhayee mehfil main hay wo hastee meri jaan bani meray jeenay kaa samaan bani meray dil main wo mehmaan bani armaan bani----- mera maan bani mujhay kehna thaa yay sab tum say Par mujh ko yay maloom naa thaa ke din wo kabhi nahi aye gaa wo lamha jo aya bhee nahi wo beet gea meray dil kaa sheesha choor hua jo hastee meri jaan bani ek pal main hee anjaan bani ab mujh ko kuch nahi kehna hay chup rehna hay dukh sehna...

Bhari mehfil main tanha ho geay hain

Bhari mehfil main tanha ho geay hain Kay ham sapnoon main aisay kho geay hain Hamain un say nahin koi shikayat Muqqaddar main jo kanttay bo geay hain Hamari zindgee thee jin kay dam say Wo dharttee orr kar ab so geay hain Kahaan say layen gay ab un kay jaisa Wo thay meenar e azmat, jo geay hain Hay ye to ek peghaam e ebrat Jo aye hain jahaan main, wo geay hain

Aisaa lagtaa hay k mare zindgee tum hoo

Aisaa lagtaa hay k mare zindgee tum hoo Ajnabee hoo k ajnabee tum hoo Abb koi arzoo naheen baqee Jastajoo mare akhree tum hoo Main zamee paar ghana andhraa hoon Asmanoo kee chandnee tum hoo Dostoon saa wafaa kee umedaan Kiss zamanay kaay admee tum hoo Asaa lagtaa kah mare zindgee tum hoo Ajnabee hoo kaah ajnabee tum hoo

janay kiun? dil kisi ajnabhi par etabhar karnay laghta hay

janay kiun? dil kisi ajnabhi par etabhar karnay laghta hay... janay kiun? kissi ka hamari zindagi mein aana bahar sa laghta hay... janay kiun? us sai milnay k baad haar koi ajnabhi saa laghta hay.... janay kiun? chaudwien k chaand mein ankhay us koo dhondhnay laghti hay .... janay kiun? us k baghair haar mousam kizah kizah saa laghtha hay ... janay kiun? janay kiun ?hamari soocho mein usi kaa khayal lagha rehtaa hay .... janay kiun ? haar waqt usi k aanay ka intezarr lagha rehtaa hay .... janay kiun? uss k becharnay ka khauf lagha rehtha hay .... janay kiun? kisi sai eik baar mil kar ussi kaa honay ka dil chahtha hay .. janay kiun? uss par sabh kuch qurbaan karnay ko dil chahta hay ... janay kiun? uss k sath zindagi basar karnay ko dil chahtaa hay ... janay kiun? us ki sansoon mein samanay ko dil chahtaa hay ... janay kiun? us k sang marnay ko dil chahtaa hay .... janay kiun??????? janay kiun ?????

ajab din hain mohabaat k,

ajab din hain mohabaat k, ajab musam hain chaat k, kabhi gar yaad ayein tu palkoon per sitare jhilmilatay hain, kisi ki yaad mein ratoon ko aksar jagna mamool ha apna , kabhi gar neend ay tu hum yeh sooch latay hain , abhi tu woh humare wastay soya nhi ho ga, abhi roya nhi ho ga, abhi hum bhi nhi sotay,abhi hum bhi nhi rotay, so phir hum jagtay hain or us ko yaad kartay hain, aklay beth kar weran_e_dil abad karte hain, humray samnay taroon k jhurmut main akela chandh hota hai, falak per rakas karte un anghinat roshan sitaroon ko, jo hum tartib diytay hain , tu us ka naam banta hai, hum aglay roz jab miltay hai,guzri raat ki har baykuli ka zikar karte hain , har eik kissa sunatay hain , kahan kis waqt,kis trahan sa dil darkaya, batay hain..... main jab kheti ho k jana! "aaj tu mein raat ko eik pal nhi soe" tu woh kamosh rehta hai , per us ki neend main dobi hoi do ankhein achanka bol uthi hain, mein jab us ko batati hoon, k mein na raat ko roshan sitaroon mein, tumhara naam d...

Abr main Lepti Hoi

    Abr main Lepti Hoi Shaam K Halay Main Kharri Ye Teri Yaad Bohat Dair Sey Seenay Sey Lagi Mujh Ko Afsurdah BeHaal Kiye Deti Hai ... Aik Lamhay Ko Kai Sal Kiye Deti Hai Aatshi Lehar, Banfashi Sii Fiza Dono EK Sath Bhi Milti Hain Kahin Haan Magar Yaad Teri Koi Karamat Kr Dey Dil Sey Pewasta Ye Umeed K Shayed Tu Kahin Abr Main Lepti Hoi Shaam K Halay Main Simat Aaye Yahein Haan Magar Sokhay Hoe Patoon Ka BeTaab Hajoom Mujh Ko Dheeray Se Ye Kehta Hai K Mumkin Tu Nahi.... Aur Phir Dil Ye Hazeen Tor K Zeest Ki Umeed Sabhi Aub Dharkta Bhi Nahi ...!!!!

Suno

Suno ... ! ''MOHABBAT" Yun Nahi Hoti Kisi Ka "NAAM" Lene Se ... Kisi Ko "THAAM" Lene Se Kisi k "PAAS"Jane Se Kisi k "DUUR" Jane Se MOAHBBAT Ka Janam Nahi Hota Jab Tak Dilo'n Ka "MILAN" Nahi Hota Suno ... ! "MOHABBAT" Yun Nahi Hoti Ye "RABTA" Hy Dil Se Dil Ka Ye "NAAM" Hy Betarteeb "DHARKANO'N" Ka MOHABBAT Tou Aankho'n Se "BAYAN" Hoti Hy Ye Tou Dil Ki "ZUBAAN" Hoti Hy Suno .. ! "MOHABBAT" Yun Nahi Hoti ... !!!!  

Main khwab khwab dhoondta phira jise Barson

Main khwab khwab dhoondta phira jise Barson wo Ashq ashq meri aankh main samaya tha ...  pa dhadkanon ne usi ko khuda banya tha  MUJhe khabar thi wo mera nhi praya tha..!!

“Last Call”

“Last Call” Kal hamesha ki tarah us nay kaha yeh phone per mai bahut masroof hoon mujhko bahut say kaam hain is liye tum ao milnay, mai tu asakti nahin ... har riwayat tor kar is bar mainay kah diya tum jo ho masroof tu mai bhi bahut masroof hoon tum jo ho mashhoor tu mai bhi bahut maroof hoon tum agar gamgin ho mai bhi bahut ranjore hoon tum thakan say choor ho tu mai bhi thakan say choor hoon jaan-e-man hai wakt mera bhi bahut hi keemti kuch puranay doston nay milnay ana hai abhi mai bhi ab faarigh nahi mujh ko bhi lakho kaam hain warna kahnay ko tu sab lamhay tumharay naam hain meri ankhain bhi bahut bojhal hain sauna hain mujhay ratjagon kay baad ab neendon mai khona hai mujhay mai lahu apni anao ka baha sakta nahin tum nahin atin tu milnay asakta nahin us ko yeh kah kay WASI mai receiver rakh diya aur phir apni ana kay paon pay sar rakh diya  

Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hon

Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hon Tujh Say Agy Ka Safar Dekh K Dar Jata Hon Roz Dhalty Howey Suraj Ki Tarha, Sham Gaye Main Bhi ek Dard K Darya Main Utar Jata Hon ... Wo Bhi Chup Chup Si Kahin Baith K Roti Ho Gi Main Bhi Raton Ko Zara Dair Se Ghar Jata Hon Main Ne Bhi Jurm-E-Baghawat K Sitam Jhiley Hain Main Bhi Ab Log Jidhar Jayen Udhar Jata Hon Chal Para Hon Main Zamany K usolon Pe "WASI" Main Bhi Ab Apni hi Baton Sy Mukar Jata Hon...!!!!

Kuch bhi to nahi wesa

Kuch bhi to nahi wesa jesa tujhy socha tha jitna tujhy chaha tha socha tha tery lub per kuch hurf duaon k ... kuch phool wafaon k mehkyn gay meri khatir Kuch bhi to nahi wesa jesa tujhy socha tha mehsoos yeh hota hy dukh jheely thy jo abb tak by-naam musafat main likhny ki muhabbat main perhny ki zaroorat main by-sood riyazat thi by-faiz ibadat thi jo khuab bhi dekhy thy in jagti ankhon ny sab khaam khayali thi phir bhi tujhy pany ki dil k kisi gooshy main khuahish to bacha li thi lakin tujhy pa ker bhi or khud ko gunwa ker bhi iss hubs k musam ki khirki sy hawa aai na phool sy khushboo ki koi bhi sada aai aab neend hy ankho main na dil main pehli si taza sukhan-aaraee na lufz mery nikly na hurf-0-maani ki danish mery kaam aai NA-DEEDA RAFAQAT MAIN JITNI BHI AZIYAT THI sab mery hi naam aai Kuch bhi to anhi wesa jesa tujhy soocha tha jitna tujhy chaha tha..!!!!

Judaai deny waley tum sy umeed-e-wafa kaisi…!

Judaai deny waley tum sy umeed-e-wafa kaisi…! Ta’alluq toot jaye jub, Mohabbat rooth jaye jub, Tu phir rasm-e-dua kaisi ? Bhanwar mein dolti kashti pe.. ... sahil ki tamanna kya ? ukhartey saans hon tu.. zindagi ki aarzoo bhi kya ? jo manzil kho chuki ho uski phir sy justajoo bhi kiyon ? razaa-e-dost per acha, sar-e-tasleem kham kerna si’saknay sy yehi behter hai, na-umeed hi marna Magar… Dil ne tumhy kis wastay sy yaad rakha hai ? Tumhy kiyon shaa’iri mein aaj tak aabaad rakha hai ? Abhi tak main ne kiyon khud ko barbaad rakha hai ? Hawa k dosh pe kiyon naghma-e-faryaad rakha hai ? Judaii deny waley…. Aashnaai ki qasam tum ko Tumhari bewafaai, kajj-adaai ki qasam tum ko Mujhe itna bta dena Wafa ki chaahto’n ki mash’alein kaisy bujhatey hein ? Nishaa’n kaisy mitaatey hein ? Bhulana ho jin ko unhein, Bhla kaisy bhulatey hein ? Judaai deny waley tum sy umeed-e-wafa kaisi…!!!!  

Dost Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain,

Dost Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain, Har Naye Morr Pey Ekk Zakhm Naya Detey Hain… Tum Say To Khair Gharrhi Bhar Ki Mulaqaat Rahi, Log Sadiyon Ki Rafaaqat Ko Bhula Detey Hain, ... Har Naye Morr Pey Ekk Zakhm Naya Detey Hain, Dost Kya Khoob Wafaaon Ka sila Detey Hain... Kaisey Mumkin Hai Dhuwaan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jaley, Chott Parrti Hai To Pathar Bhi Sadaa Detey Hain, Har Naye Morr Pey Ekk Zakhm Naya Dete Hain, Dosy Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain... Kon Hota Hai Museebat Mein Kisi Ka Aey Dost, Aag Lagti Hai To Patey Bhi Hawa Detey Hain, Har Naye Morr Pey Zakhm Naya Detey Hain , Dost Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain... Jin Pey Hota Hai Bohat Dil Ko Bharosa, Waqat Parrney Pey Wohi Log Daghaa Detey Hain , Har Naye Morr Pey Ekk Zakhm Naya Detey Hain, Dost Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain... Har Naye Mor Pey Ekk Zakhm Naya Detey Hain,,, Dost Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain... !!!! .

Teri Ankhon Se Ashk-E-Gam Nikle

Teri Ankhon Se Ashk-E-Gam Nikle Gire Jaha Tabdil-E-Sailaab Hua   Tasvir-E-Mohabbat Dekhi Dil Mera Lutf-O-Karam Hua   Hijar Ye Mustaqil Nahi Laut Aaya Hun Bewafa Tou Nahi…

Wisaal-O-Hijr Mein

Wisaal-O-Hijr Mein Ya Khwab Se Mahroom Aankhon Mein Kisi Ahd-E-Rifaqat Mein Ke Tanhai Ke Jangal Mein Khyal-E-Khal-O-Khad Ki Roshani Ke Gahre Baadal Mein ... Chamkti Dhoop Me Ya Phir Kisi Be Abr Saye Mein Kahin Baarish Me Bhige Jism-O-Jaan Ke Nasrparon Mein Kahin Hoton Pe Shairon Ki Mahaktie Aabsharon Mein Chiraghon Se Saji Shaamon Mein Ya Benoor Raaton Mein Sahr Ho Runuma Jaise Kahin Baaton Hi Baaton Mein Koi Lipta Hua Ho Jis Tarah Sandal Ki Khushboo Mein Kahin Pe Titliyon Ke Rang Tasweeren Bana Te Hon Kahin Pe Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshani Khud Ko Chupati Ho Kahin Kaisa Hi Manzar Ho Kahin Kaisa Hi Mausam Ho Tere Saare Hawalon Ho Teri Saari Misalon Ko Mohabbat Yaad Rakhti Hai...!!!!

Suno Tum Maan Jao Na

Suno Tum Maan Jao Na Hamay Ab Yun Satao Na ... Tumharay Bin Hamay Jena Gawara Ab Nahi Hota Tumhay Kaisay Kahun Tum Bin Guzara Ab Nahi Hota Hamay Apna Bana Lo Tum Tumhara Ban K Rehna Hai Mujhe Dukh Hijar Ka Janum Nahi Ab Or Sehna Hai Kayi Sapnay Sajaey Hain Ab In Me Rang Bhar Do Na Tumhay Meri Kasam Jannah Tum Meray Sang Chal Do Na Mujhay Ab Aur Rulao Na Suno Tum Maan Jao Na .

BARISHON ka mosam hey

BARISHON ka mosam hey. Rooh ki fizaon mein. Gamzada hwaein hein. ... Besabab udasi hey. Is ajeeb mosam mein. Beqrar raton ki. Beshumar batein hein. An ginat afsaney . heinJo bohat khamoshi sey. Dil pey sehtey phirtey hein. Or ba amr-e-mjboori. Sab sey kehtey phirtey hein. "Aj mosam acha hey"... !!!!

Aaeene se kya matlab

Aaeene se kya matlab........!!!! Aaeene se kya matlab aaeena to tootega pat'tharo'n ki basti mein ... tootna muqaddar hai phool se bhi kya shikwa phool to bikharna hai ke khizaa'n ki ek rutt mein bikharna muqaddar hai tootna muqaddar hai zindagi se kya lena ye to chand saanso'n ki aaeeno ki pat'thar ki phool aur kaante ki pyaar aur chaahat ki ek haseen kahaani hai lekin ae dil-e-nadaan tu jo itni umeedein nit naye se kuchh sapne dekhta hai aankho'n se kya tujhe nahi maaloom zindagi hai wo jiska roothna muqaddar hai tootna muqaddar hai...!!!!  

jab thak jati hu bhagte -bhagte

jab thak jati hu bhagte -bhagte nikal parti hu dur kisi ke talas me aankhen jalne lagti hai dil chupke se kahta hai kiu pareshan ho uske liye ... wo jo qabil hi na tha tumhare use bhul jao ek nai suruaat karo aane wali nai baharo ko  khusaamdid kaho.

Subah subah ik khwab ki dastak par darwaza khola, dekha

Subah subah ik khwab ki dastak par darwaza khola, dekha Sarhad ke us paar se kuchh mehmaan aaye hain Aankhon se maanoos the saarey Chehre saarey sune sunaaye ... Paanv dhoye, Haath dhulaye Aangan mein aasan lagwaaye... Aur tandoor pe makki ke kuchh mote mote rot pakaye Potli mein mehmaan mere Pichhale saalon ki faslon ka gud laaye the Aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha Haath lagakar dekha to tandoor abhi tak bujha nahin tha Aur hothon pe meethe gud ka zaayka ab tak chipak raha tha Khwab tha shayad! Khwab hi hoga! ! Sarhad par kal raat, suna hai, chali thi goli Sarhad par kal raat, suna hai Kuchh khwaabon ka khoon hua...!!!!  

Zard rang

Zard rang dukh denay wala hota hay jesay dubta suraj! jesay pat jharh ki rut! jesay khizan raseeda burg! ... jesay pyasi rait! jesay taiz dhoop! jesay bohat purana kaghaz! tujh sey chin janey wali!!!! tumhari "mohabbat" bhi zerd rang ki ho gayi hey!!!!

M0habat "Khawab" h0ti Hai.

M0habat "Khawab" h0ti Hai. Bari "Betaab" h0ti Hai. j0 k0i po0ch Bethy t0. m0habbat "Raaz" h0ti Hai. Machalti see Umang0n ka. ... Suhana Sath h0ti Hai. j0 k0i Dh0ndna Chahy. t0 Ye "Nayab" h0ti Hai. m0habat Pho0l Hai Shayad. Gham0n ki Dho0l Hay Shayad. Chamakti Raat Hai Shayad. kisi ki Yad Hay Shayad. m0habat Pur Sako0n Bhi Hai. Mgar Betab h0ti Hai. Agar Mil Na Skey t0 Phir. Ado0ra Khwaab" h0ti Hai

Apni dehleez pr kuch dair t0h parha rehne d0.

Apni dehleez pr kuch dair t0h parha rehne d0. Jaise he h0sh mein aa0nga t0h chala ja0nga, ... Parwana ho0n shama ßujne tak rehne d0. Main khud k0 jala0nga t0h chala ja0nga, Na kisi ki aankh ka no0r h0on Na kisi ke dil ka qaraar ho0n. Main girta huwa ek ashk h0on ßeh ja0nga t0h chala ja0nga, Na khuwaß h0on na khayal ho0n Na pho0l ho0n na gulaß h0on. Main jalta huwa ek chirag h0on ßujh ja0nga t0h chala ja0nga,,,

barkain mari peyas ko aksar tari ankhin

barkain mari peyas ko aksar tari ankhin sehra mera chehra hy samandar tari ankhin  phir kon bhala dad-e-tabasum hi nahi dy ga royain gi buhat muj sy bichar tari ankhain ... bojhal nazar ati hain bazahir mujy lakin khultin hain buhat dil main utar kar tari ankhain  ab tak mari yadon sy mitay nahi mit,ta bhegi hoi ik sham ka manzar tari ankhain  mumkin ho tu ik taza ghazal or b keh lon phir orh na lain khawabon ki chadar tari ankain  youn dekhty rehna usy acha nahi mohsin wo kanch ka pekar hain tu pathar tari ankahin

Sab Ka Ehsaan Uthane Ki Zaroorat Kiya Hai

  Sab Ka Ehsaan Uthane Ki Zaroorat Kiya Hai Saath Ho Tum To Zamane Ki Zaroorat Kiya Hai, MAsla Dono Ka Hai Tay Bhi Karenge Dono Shaher Ko Beech Mein Laane Ki Zaroorat Kiya Hai, ... Dil Se Tay Kar Kay Kisi Roz Ek Ho Jaao Chorna Hai To Bahaane Ki Zaroorat Kiya Hai, Khawahishen Dil Se Nikal Aaen To Hsarat Kaisi In Parindon Ko Thikhane Ki Zaroorat Kiya Hai, Kiya Howa Is Se Jo Pehle Saa Taluq Na Rahaa Shaher Ko Chor K Jaane Ki Zaroorat Kiya Hai, Ghol Chiriyon Ka Tumhen Kiyoon Nahi Acha Lagta Jheel Mein Zaher Milane Ki Zaroorat Kiya Hai.

Roktaa Hai Gham-e-Izhaar Se Pindaar Mujhe

  Roktaa Hai Gham-e-Izhaar Se Pindaar Mujhe Mere Ashkon Se Chupaa Le Mere RuKhsaar Mujhe, Dekh Aye Dasht-e-Junoon Bhed Na khulne Paaye Dhoondhne Aaye Hain Ghar K Dar-o-Deewaar Mujhe, ... Si Diye Honth Usi ShaKh ki Majboori Ne Jis ki Qurbat Ne kiya Mehram-e-Asraar Mujhe, Meri Aankhon ki Taraf Dekh Rahe Hain Anjum Jaise Pehchaan Gai Ho Shab-e-Bedaar Mujhe, Jins-e-Weeraani-e-Sehraa Meri Dukaan Mein Hai kiya khareedega Tere Shaher kaa Baazaar Mujhe, Jaras-e-Gul Ne kai Baar Bulaayaa Lekin Le Gai Raah Se Zanjeer ki Jhankaar Mujhe, Naavak-e-Zulm Uthaa Dashnaa-e-Andoh Sambhaal Lutf Kay Khanjar-e-Benaam Se Mat Maar Mujhe, Saari Duniya Mein Ghani Raat kaa Sannaataa Thaa Sahan-e-Zindaan Mein Mile Subah K Aasaar Mujhe.

Hans K Faramaate Hain Woh Dekh Kar Haalat Meri

Hans K Faramaate Hain Woh Dekh Kar Haalat Meri kiyon Tum Aasaan Samajhate The Muhabbat Meri, Baad Marane Kay Bhi Chori Na Rafaaqat Meri Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasarat Meri, ... Mainne Aagosh-e-Tasavur Mein Bhi Khencha To kaha Piss Gai Piss Gai Bedard Nazaakat Meri, Aayenaa Subah-e-Shab-e-Wasl Jo Dekhaa To kahaa Dekh Zaalim Yeh Thi Shaam ko Soorat Meri, Yaar Pehalu Mein Hai Tanhaai Hai Keh Do Nikle Aaj kiyon Dil Mein Chupi Baithi Hai Hasarat Meri, Husn Aur Ishq Hum_Aagosh Nazar Aa Jaate Teri Tasveer Mein Khinch Jaati jo Hairat Meri, Kis Dhataai Se Woh Dil Chheen K kehate Hain "Ameer" Woh Meraa Ghar Hai Rahe Jis Mein Muhabbat Meri.

Ishq Humare Khiyaal Para Hai, Khawab Giya Araam Giya

Ishq Humare Khiyaal Para Hai, Khawab Giya Araam Giya Jee Ka Jaana Thaher Raha Hai, Subah Giya Ya Shaam Giya, Ishq Kiya So Deen Giya, Emaan Giya Islaam Giya Dil Ne Aysa Kaam Kiya, Jis Se Main Nakaam Giya, ... Kis Kis Apne Kal Ko Ro De Hijraan Mein Bekal Us ka Khawab Gai Hai Taab Gai Hai, Chain Giya Araam Giya, Aaya Yahaan Se Jaan Hai To Jee Ka Chupana Kiya Hasil Aaj Giya Ya Kal Jaawega Subah Giya Yaa Shaam Giya, Hay Jawani Kiya Kehiye Shor Saron Mein Rakhte Thay Ab Kiya hai Woh Ehd Giya, Woh Mosam Woh Hangaam Giya, Gaali, Jhirki,Khashm-o-Khashonat Yeh To Sar-e-Dast Aksar Hain Lutf Giya, Ehsaan Giya, Inaam Giya, Ikraam Giya, Likhna Kehna Tark Howa Tha Apas Mein To Muddat Se Ab Jo Qaraar Kiya Dil Se, Khat Bhi Giya Piyaam Giya, Naala-e-"Meer" Aswaad Mein Hum Tak Dosheen Shab Se Nahi Aaya Shayad Shaher Se Zalam Kay, Asihq woh Badnaam Giya.

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai wo samane hai magar tishnagi nahin jaati ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai 'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai

chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse

chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse gahe gul-o-bulbul ki hikaayat ko nikhaaraa gahe kisi shahazaade ke afsane sunaaye gahe kyaa duniyaa-e-paristaan kaa nazaaraa main khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaan main har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa barason yon hi diljami-e-aurang ki khaatir sau phuul khilaaye kabhi sau zakhm kharide main likhataa rahaa hijv bagaavat manshon ki main parhataa rahaa qasrnashinon ke qaside ubharaa bhi agar dil main koi jazabaa-e-sarkash is khauf se chup thaa ke koi honTh na si de lekin ye tilismaat bhi taa der na rah paaye aakhir mai-o-minaa-o-daf-o-chang bhi TuutTe yon dast-o-garebaan huaa insan-o-khudaaband nakhachir to tarape qafas-e-rang bhi TuuTe is kashmakash-e-zarraa-o-anjum ki fizaa main kashkol to kyaa afsar-o-aurang bhi TuuTe main dekh rahaa thaa mere yaaron ne barhakar qaatil ko pukaaraa kabhi maqtal ko sadaa di gahe rasn-o-daar ke aagosh main jhuule gahe haram-o-dair ki buniyaad hilaa di jis aag se bharpuur thaa maahaul kaa sinaa wo a...

'Faraz' ab koi sauda koi junun bhi nahin

'Faraz' ab koi sauda koi junun bhi nahin magar qarar se din kat rahe hon yun bhi nahin lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fun bhi mila magar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahin meri zuban ki luknat se badguman na ho jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin 'Faraz' jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai tu pas aye to mumkin hai main rahun bhi nahin

gile fuzul the ahad-e-vafa k hote hue

gile fuzul the ahad-e-vafa k hote hue so chup raha sitam-e-narava k hote hue ye qurbaton main ajab fasle pare k mujhe hai ashna ki talab ashna k hote hue vo hilagar hain jo majburiyan shumar karain chirag ham ne jalayen hava k hote huye na kar kisi pe bharosa k kashtiyan dubin khuda k hote huye nakhuda k hote huye kaise khabar hai k kasa-ba-dast phirte hain bahut se log saron par huma k hote hue 'Faraz' aise bhi lamhen kabhi kabhi aye k dil girifta raha dilruba k hote hue

har tamashai faqat sahil se manzar dekhta

har tamashai faqat sahil se manzar dekhta kaun dariya ko ulatata kaun gauhar dekhta wo to duniya ko meri divangi khush a gai tere hathon main vagarna pahala patthar dekhta ankh main ansu jare the par sada tujh ko na di is tavaqqo par ki shayad tu palat kar dekhta meri qismat ki lakirain mere hathon main na thin tere mathe par koi mera muqaddar dekhta zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah kis ko itana hausala tha kaun ji kar dekhta dubane vala tha aur sahil pe cheharon ka hujum pal ki mohalat thi main kis ko ankh bhar ke dekhta tu bhi dil ko ik lahu ki bond samajha hai 'Faraz' ankh gar hoti to qatre main samandar dekhta

hawa k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya

hawa k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya pukarte rahe mahafuz kishtiyon vale main dubte hua dariya k par utar bhi gaya ab ehtiyat ki divar kya uthate ho jo chor dil main chupa tha vo kam kar bhi gaya main chup raha k is main thi afiyat jan ki koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya sulagate sochte viran mausamon ki tarah kara tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya jise bhula na saka us ko yad kya rakhta jo nam dil main raha zehan se utar bhi gaya phati-phati hui ankhon se yun na dekh mujhe tujhe talash hai jis ki vo shaKhs mar bhi gaya magar falak ki adavat usi k ghar se na thi jahan 'Faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya

inhin khushgumaniyon main kahin jan se bhi na jao

inhin khushgumaniyon main kahin jan se bhi na jao vo jo charagar nahin hai use zaKhm kyun dhikhao ye udasiyon k mausam kahin rayegan na jayen kisi zaKhm ko kuredo kisi dard ko jagao vo kahaniyan adhuri jo na ho sakaingi puri unhen main bhi kyun sunaun unhen tum bhi kyun sunao mere hamsafar purane mere ab bhi muntazir hain tumhen sath chorna hai to abhi se chor jao ye judaiyon k raste bari dur tak gaye hain jo gaya vo phir na lauta meri bat man jao kisi bevafa ki khatir ye junun 'Faraz' kab tak jo tumhen bhula chuka hai use tum bhi bhul jao

Mujhe Jis Se Mohabbat Hai Usse Main Pa Nahi Sakta

Mujhe Jis Se Mohabbat Hai Usse Main Pa Nahi Sakta Usse Paana Bohat Mushkil Usse Main Kho Nahi Sakta Yeh Kaisa Jabr Hai Dil Per Yeh Kaisi Meri Majboori Meri Aankhein Hain Nam Nam Si Magar Main Ro Nahi Sakta Usse Hai Pyar Mujh Se Woh Mujhe Her Roz Kehti Hai Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Usse Main Keh Nahi Sakta Kabhi Milta Nahi Jo Woh To Chain Aata Nahi Mujh Ko Juddayi Ka Khayal Aaye To Phir Main So Nahi Sakta Tera Israar Ek Din Ek Ho Jayenge Hum Dono Mera Her Bar Keh Dena Ke Main Tera Ho Nahi Sakta.

Un k aane ka he imkaan Khuda khair kare

Un k aane ka he imkaan Khuda khair kare, Dil pe guzrega ye toofan Khuda khair kare, Wo to hain oonche mehlon k rehne wale, Aur mera ghar beyyabaan Khuda khair kare, Un ka kehna he k mehfil me uthayenge naqaab, Mera kho jaye na eemaan Khuda khair kare, Wo ye kehte hen is baar judai hogi apni, Main ye kehta hon meri jaan Khuda khair kare, Maine maangi he wafa aur wafa k badle, Us ne maangi he meri jaan Khuda khair kare.

Wo Mohabbat Ka Khuda Hai Mujhay Maloom Na Tha

Wo Mohabbat Ka Khuda Hai Mujhay Maloom Na Tha Sajda Us Ko Bhi Rawa Hai Mujhay Maloom Na Tha Wo Bicharne Laga Mujh Sey To Anaa Toot Gayi Rooth Jana Hi Aada Hai Mujhy Maloom Na Tha Subha Hone Pay Bhi Aankhon Sey Andhera Na Gaya Raat Suraj Sey Khafa Hai Mujhay Maloom Na Tha Rooth Janay Pay Manana Usey Aata Hi Nahi Yeh Bhi Meri Hi Khata Hai Mujhay Maloom Na Tha Zindagi Jurm-e-Anasar Hai Zamane Mein Sans Lena Bhi Saza Hai Mujhay Maloom Na Tha !!

is daur-e-bejunun ki kahani koi likho

is daur-e-bejunun ki kahani koi likho jismon ko barf khun ko pani koi likho koi kaho k hath qalam kis tarah hue kyun ruk gai qalam ki ravani koi likho kyon ahal-e-shauq sar-va-gareban hain dosto kyon khun-ba-dil hai ahad-e-javani koi likho kyon surma-dar-gulu hai har ek tayar-e-sukhan kyon gulsitan qafas ka hai sani koi likho han taza sanehon ka kare kaun intazar han dil ki varadat purani koi likho

is qadar musalsal thin shidaten judai ki

is qadar musalsal thin shidaten judai ki aj pahali bar main ne us sa bevafai ki varana ab talak yun tha khvahishon ki barish main ya to tut kar roya ya gazalsarai ki taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat main aj un se majburan taza ashanai ki ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se tune kis ghari zalim meri hamnavai ki tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh k ap se koi puche ham ne kya burai ki phir qafas main shor utha qaidiyon ka aur sayyad dekhrna ura dega phir khabar rihai ki

karon na yad agar kis tarah bhulaon use

karon na yad agar kis tarah bhulaon use gazal bahana karon aur gungunaon use wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind main zakhm-zakhm hon phir bhi gale lagaon use ye log tazakare karate hain apne logon se main kaise bat karon aur kahan se laon use magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai ke ruth jaye agar yad kuch dilaon use vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan tumhari bat pe ai nasiho ganvaon use jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hai 'Faraz' ajab nahin ki agar yad bhi na aon use

Khamosh ho kyon daad-e-jafaa kyon nahin dete

Khamosh ho kyon daad-e-jafaa kyon nahin dete bismil ho to qaatil ko duaa kyon nahin dete vahashat kaa sabab ruuzan-e-zindaan to nahin hai mahar-o-maah-o-anjum ko bujhaa kyon nahin dete ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaan hai ai chaaraagaro dard barhaa kyon nahin dete munsif ho agar tum to kab insaaf karoge mujarim hai agar ham to sazaa kyon nahin dete rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaan bhi rahabar ho to manzil kaa pataa kyon nahin dete kyaa bit gai ab ke 'Faraz' ahal-e-chaman par yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyon nahin dete

himmat-e-iltija nahin baqi

himmat-e-iltija nahin baqi zabt ka hausla nahin baqi ik teri did chin gai mujh se warna duniya main kya nahin baqi apni mashq-e-sitam se hath na khench main nahin ya wafa nahin baqi teri chashm-e-alamnawaz ki khair dil main koi gila nahin baqi ho chuka khatm ahad-e-hijr-o-wisal zindagi main maza nahin baqi

muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka

muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka bat kar tujh par guman hone laga tasvir ka rat kya soye k baqi umr ki nind ur gai Khvab kya dekha ki dharka lag gaya tabir ka jane tu kis alam main bichara hai ki tere bagair aj tak har lafz fariyadi meri tahrir ka jis tarah badal ka saya pyas bharakta rahe main ne vo alam bhi dekha hai teri tasvir ka kis tarah paya tujhe phir kis tarah khoya tujhe mujh sa munkir bhi to qail ho gaya taqdir ka ishq main sar phorna bhi kya k ye be-meher log ju-e-Khun ko nam dete hain ju-e-shir ka jis ko bhi chaha use shidat se chaha hai 'Faraz' sil-sila tuta nahin dard ki zanjir ka

muttafavatain hain mere khuda ki ye tu nahin koi aur hai

muttafavatain hain mere khuda ki ye tu nahin koi aur hai ki tu asaman pe ho to ho pisar-e-zamin koi aur hai wo jo raste the vafa ke the ye jo manzilain hain saza ki hain mera hamsafar koi aur tha mera hamnashin koi aur hai mere jism-o-jan main tere siva aur koi bhi dusra mujhe phir bhi lagta hai is tarah ki kahin kahin koi aur hai main asir apne gazal ka main faqir dasht-e-visal ka jo hiran ko bandh ke le gaya wo subuktagin koi aur hai

payam aye hain us yar-e-bevafa k mujhe

payam aye hain us yar-e-bevafa k mujhe jise qarar na aya kahi bhula k mujhe nashe se kahun to nahin yad-e-yar ka alam k la ura hai koi dosh par hava k mujhe judaiyan hon to aisi ki umr bhar na mile fareb to do zara silsile bara k mujhe main Khud ko bhul chuka tha magar jahan vale udas chor gaye aina dikha k mujhe

phir usi rahguzar par shayad

phir usi rahguzar par shayad ham kabhi mil sakain magar shayad jan pahachan se kya hoga phir bhi ai dost gaur kar shayad muntazir jin ke ham rahe tum ho mil gaye aur hamsafar shayad jo bhi bichare hain kab mile hain 'Faraz' phir bhi tu intazar kar shyad

qurbaton main bhi judai ke zamane mange

qurbaton main bhi judai ke zamane mange dil wo bemehar ki rone ke bahane mange apana ye hal ke ji har chuke lut bhi chuke aur muhabbat vahi andaz purane mange ham na hote to kisi aur ke charche hote khalqat-e-shahar to kahane ko fasane mange dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-'Faraz' mil gaye tum bhi to kya aur na jane mange

sab log liye sang-e-malamat nikal aye

sab log liye sang-e-malamat nikal aye kis shahar main ham ahal-e-muhabbat nikal aye ab dil ki tamanna hai to ai kash yahi ho ansu ki jagah ankh se hasrat nikal aye har ghar ka diya gul na karo tum k na jane kis bam se khurshid-e-qayamat nikal aye jo darpa-e-pindar hain un qatlgahon se jan dek bhi samjho k salamat nikal aye ai hamnafaso kuch to kaho ahad-e-sitam ki ik harf se mumkin hai hikayat nikal aye yaro mujhe maslub karo tum k mere bad shayad k tumhara qad-o-qamat nikal aye

sakut-e-sham-e-Khizan hai qarib a jao

sakut-e-sham-e-Khizan hai qarib a jao bara udas saman hai qarib a jao na tum ko Khud pe bharosa na ham ko zom-e-vafa na aitabar-e-jahan hai qarib a jao rah-e-talab main kisi ko dhyan nahin hujum-e-hamsafaran hai qarib a jao jo dasht-e-ishq main bichren vo umr bhar na mile yahan yahan dhuan hi dhuan hai qarib a jao ye andhian hain to shahar-e-vafa ki Khair nahin zamana khakfashan hai qarib a jao faqih-e-shahar ki majalis nahin k dur raho ye bazm-e-pir-e-magan hai qarib a jao 'Faraz' dur k suraj garub samajhe gaye ye daur-e-kamnazara hai qarib a jao

kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai

kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai ham bada-kashon k hise ko ab jam main kam kam ati hai yun arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil pani hote hain tum lakh raza k khu dalo kab khu-e-sitamgar jati hai bedad-garon ki basti hai yan dad kahan fariyad kahan sar phorti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jati hai han ji k zayan k ham ko bhi tashwish hai lekin kya kjiye har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai ab kucha-e-dilbar ka rah-rau rahzan bhi bane to bat bane pahre se udu talte hi nahin aur rat barabar jati hai ham ahal-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subah-e-watan yadon se muattar ati hai ashkon se munawwar jati hai

sholaa thaa jal-bujhaa hon havaayain mujhe na do

sholaa thaa jal-bujhaa hon havaayain mujhe na do main kab kaa jaa chukaa hon sadaayain mujhe na do jo zahar pii chukaa hon tumhiin ne mujhe diyaa ab tum to zindagii kii duaayain mujhe na do aisaa kahiin na ho ke palaTakar na aa sakon har baar duur jaa ke sadaayain mujhe na do kab mujh ko aiteraaf-e-muhabbat na thaa 'Faraaz' kab main ne ye kahaa thaa sazaayain mujhe na do

tarap uthun bhi to zalim teri duhai na dun

tarap uthun bhi to zalim teri duhai na dun main zakhm zakhm hun phir bhi tujhe dikhai na dun tere badan main dharakne laga hun dil ki tarah ye aur bat k ab bhi tujhe sunai na dun khud apne ap ko parakha to ye nadamat hai k ab kabhi use ilzam-e-bevafai na dun mujhe bhi dhundh kabhi mahv-e-ainadari main tera aqs hun lekin tujhe dikhai na dun

tere hote hue mahfil main jalte hain chirag

tere hote hue mahfil main jalte hain chirag log kya sada hain suraj ko dikhate hain chirag apni mahrumiyo pe sharminda hain Khud nahi rakhte to auro k bujhate hain chirag bastiyan chand sitaro pe basane vale kurra-e-arz bujhate jate hain chirag kya Khabar hai un ko k daman bhi bharak uthte hain jo zamane ki havaon se bachte hain chirag aisi tarikiyan ankho main basi hain 'Faraz' rat to rat ham din ko jalate hain chirag

us ko juda hue bhi zamana bahut hua

us ko juda hue bhi zamana bahut hua ab kya kahen ye qissa purana bahut hua dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq ai marg-e-nagahan tera ana bahut hua ham khuld se nikal to gaye hain par ai khuda itne se vaqaye ka fasana bahut hua ab ham hain aur sare zamane ki dushmani us se zara rabt barhana bahut hua ab kyon na zindagi pe muhabbat ko var den is ashiqi main jan se jana bahut hua ab tak to dil ka dil se tarruf na ho saka mana k us se milna milana bahut hua kya kya na ham kharab hue hain magar ye dil ai yad-e-yar tera thikana bahut hua kahta tha nasehon se mere munh na aio phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua lo phir tere labon pe usi bevafa ka zikr ahmad 'Faraz' tujh se kaha na bahut hua

us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaa

us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaa hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa main aam thii main ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain main ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa us ne nazar nazar main hii aise bhale suKhan kahe main ne to us ke paanon main saaraa kalaam rakh diyaa shiddat-e-tishnagii main bhii Gairat-e-maikashii rahii us ne jo pher lii nazar main ne bhii jaam rakh diya aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbatain tujhe ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa

vafa k khvab muhabbat ka asara le ja

vafa k khvab muhabbat ka asara le ja agar chala hai to jo kuch mujhe diya le ja maqam-e-sud-o-ziyan a gaya hai phir janan ye zakhm mere sahi tir to utha le ja yahi hai qismat-e-sahara yahi karam tera k bund bund ata kar ghata ghata le ja gurur-e-dost se itna bhi dilshikasta na ho phir uth k samane daman-e-iltaja le ja nadamaten hon to sar bar-e-dosh hota hai 'Faraz' jan k evaz abaru bacha le ja

us ne kaha sun

us ne kaha sun ahad nibhane ki khatir mat ana ahad nibhane vale aksar majaburi ya mahajuri ki thakan se lauta karte hain tum jao aur dariya dariya pyas bujhao jin ankhon main dubo jis dil main bhi utaro meri talab avaz na degi lekin jab meri chahat aur meri Khvahish ki lau itni tez aur itni unchi ho jaye jab dil rode tab laut ana

ye aalam shauq kaa dekhaa na jaaye

ye aalam shauq kaa dekhaa na jaaye wo but hai yaa Khudaa dekhaa na jaaye ye kin nazaron se tum ne aaj dekhaa ke teraa dekhanaa dekha naa jaaye hameshaa ke liye mujh se bichhar jaa ye manzar baarahaa dekhaa na jaaye Galat hai jo sunaa par aazamaa kar tujhe ai baavafaa dekhaa na jaaye ye maharuumii nahiin paas-e-vafaa hai koii tere sivaa dekhaa na jaaye yahii to aashnaa banate hain aaKhir koii naaaashnaa dekhaa na jaaye 'Faraz' apane sivaa hai kaun teraa tujhe tujh se judaa dekhaa na jaaye

ye kya k sab se bayan dil ki halaten karni

ye kya k sab se bayan dil ki halaten karni 'Faraz' tujh ko na ain muhabbaten karani ye qurb kya hai k tu samane hai aur hamain shumar abhi se judai ki sa'aten karani koi khuda ho k patthar jise bhi ham chahen tamam umr usi ki ibadaten karni sab apne apne qarine se muntazir us k kisi ko shukr kisi ko shikayaten karani ham apne dil se hain majabur aur logon ko zara si bat pe barpa qayamaten karani milen jab un se to mubaham si guftagu karna phir apne ap se sau-sau vazahaten karani ye log kaise magar dushmani nibhaten hain hamin ko ras na ain muhabbaten karani kabhi 'Faraz' naye mausamon main ro dena kabhi talash purani raqabaten karani

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale ab vahi log hamain abalapa kahte hain koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain jab talak dur hai tu teri parastish kar lain ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz' wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

ab tak to noor-o-niKhat-o-rang-o-sada kahun

ab tak to noor-o-niKhat-o-rang-o-sada kahun main tujh ko chu sakun to Khuda jane kya kahun lafzon se un ko pyar hai mafhum se mujhe wo gul kahen jise main tera naqsh-e-pa kahun ab justaju hai teri jafa ke jawaz ki ji chahata hai tujh ko wafa ashna kahun sirf is ke liye ke ishq isi ka zahur hai main tere husn ko bhi sabut-e-wafa kahun tu chal diya to kitne haqaiq badal gaye najm-e-sahar ko marqad-e-shab ka diya karun kya jabr hai ke butt ko bhi kahna pare Khuda wo hai Khuda to mere Khuda tujh ko kya kahun jab mere munh men meri zuban hai to kyun na main jo kuch kahun yaqin se kahun barmala kahun kya jane kis safar pe rawan hun azal se main har intaha ko ek nai ibtida kahun ho kyun na mujh ko apne mazaq-e-suKhan pe naz Galib ko kainat-e-suKhan ka Khuda kahun

gul tera rang chura laye hain gulzaro main

gul tera rang chura laye hain gulzaro main jal raha hun bhari barasat ki baucharo main mujh se katra ke nikal ja magar ai jan-e-haya dil ki lau dekh raha hun tere rukhsaron main husn-e-begana-e-ehasas-e-jamal acha hai gunche khilte hain to bik jate hain bazaron main zikr karte hain tera mujh se baunavan-e-jafa charagar phul piro laye hain talvaron main zaKhm chup sakate hain lekin mujhe fun ki saugandh Gam ki daulat bhi hai shamil mere shahakaron main mujh ko nafrat se nahin pyar se maslob karo main to shamil hun mohabbat ke gunahgaron main

ablapa koi is dasht main aya hoga

ablapa koi is dasht main aya hoga warna andhi main diya kis ne jalaya hoga zarre zarre pe jare honge kunware sajde ek ek but ko Khuda us ne banaya hoga pyas jalte huye kanton ki bujhai hogi riste pani ko hatheli pe sajaya hoga mil gaya hoga agar koi sunahari patthar apna tuta hua dil yad to aya hoga khun k chinte kahin poch na len rehron se kis ne wirane ko gulzar banaya hoga

agaz to hota hai anjam nahin hota

agaz to hota hai anjam nahin hota jab meri kahani main wo nam nahin hota jab zulf ki kalikh main ghul jaye koi rahi badnam sahi lekin gumnam nahin hota hans hans k jawan dil k ham kyon na chunen tukre har shakhs ki qismat main inam nahin hota bahte hue ansu ne ankhon se kaha tham kar jo mai se pighal jaye wo jam nahin hota din dube hain ya dubi barat liye kashti sahil pe magar koi kohram nahin hota

chand tanha hai asman tanha

chand tanha hai asman tanha dil mila hai kahan kahan tanha bujh gai as chup gaya tara thartharata raha dhuan tanha zindagi kya isi ko kahte hain jism tanha hai aur jan tanha hamsafar koi gar mile bhi kahin donon chalte rahe tanha tanha jalti bujhti si raushani k pare simta simta sa ek makan tanha rah dekha karega sadiyon tak chor jayenge ye jahan tanha

puchte ho to suno kaise basar hoti hai

puchte ho to suno kaise basar hoti hai rat khairat k sadqe ki sahar hoti hai sans bharne ko to jina nahin kahte ya rab dil hi dukhta hai na ab asteen tar hoti hai jaise jagi hui ankhon main chubhen kanch ke khwab rat is tarah diwanon ki basar hoti hai gam hi dushman hai mera gam hi ko dil dhundta hai ek lamhe ki judai bhi agar hoti hai ek markaz ki talash ek bhatakti khushbu kabhi manzil kabhi tamhid-e-safar hoti hai

ye raat ye tanhai

ye raat ye tanhai ye dil k dharakne ki awaz ye sannata ye dubte taron ki khamosh gazalkhwani ye waqt ki palkon par soti hui wirani jazbat-e-muhabbat ki ye akhri angrai bajti hui har janib ye maut ki shahnai sab tum ko bulate hain pal bhar ko tum a jao band hoti meri ankhon main muhabbat ka ik Khwab saja jao

yun teri rahguzar se diwana war guzre

yun teri rahguzar se diwana war guzre kandhe pe apne rakh k apna mazar guzre baithe rahe hain rasta main dil ka khandar saja kar shayad isi taraf se ek din bahar guzre bahti hui ye nadiya ghulte hue kinare koi to par utre koi to par guzare tu ne bhi ham ko dekha hamne bhi tujhko dekha tu dil hi har guzra ham jan har guzre

jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua

jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua yun bhi kam amez tha "Mohsin" wo is shahar k logon main lekin mere samne akar aur hi kuch anjam hua

ye dil ye pagal dil mera kyon bujha gaya awaragi

ye dil ye pagal dil mera kyon bujha gaya awaragi is dasht main ik shahar tha wo kya hua awaragi kal shab mujhe be-shakl si awaz ne chaunka diya main ne kaha tu kaun hai us ne kaha awaragi ik tu ki sadiyon se mere hamrah bhi hamraz bhi ik main k tere nam se nashna awaragi ye dard ki tanhaiyan ye dasht ka wiran safar ham log to ukta gaye apni suna awaragi ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab sahara k bhigi ret par main ne likha awaragi le ab to dasht-e-shab ki sari wusaten sone lagin ab jagna hoga hamain kab tak bata awaragi kal rat tanha chand ko dekha tha main ne khwab main 'Mohsin' mujhe ras ayegi shayad sada awaragi

thahar jao k hairani to jaye

thahar jao k hairani to jaye tumhari shakl pahchani to jaye shab-e-gam tu hi mahman ban k aja hamare ghar ki wirani to jaye zara khul kar bhi ro lene do ham ko k dil ki ag tak pani ho jaye bala se tor dalo ainon ko kisi surat ye hairani to jaye

angrai par angrai leti hai rat judai ki

angrai par angrai leti hai rat judai ki tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki kaun siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki wasl ki rat na jane kyun israr tha unko jane par waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki urte urte as ka panchi dur ufaq mein dub gaya rote rote baith gai awaz kisi saudai ki

bechain baharon mein kya-kya hai jan ki khushbu ati hai

bechain baharon mein kya-kya hai jan ki khushbu ati hai jo phul mahakta hai us se tufan ki khushbu ati hai kal rat dikha k khwab-e-tarab so sej ko suna chor gaya har silwat se phir aj usi mehman ki khushbu ati hai talkin-e-ibadat ki hai mujhe yun teri muqaddas ankhon ne mandir k darichon se jaise loban ki khushbu ati hai kuch aur bhi sansen lene par majbur-sa main ho jata hun jab itne bare jangal mein kisi insan ki khushbu ati hai kuch tu hi mujhe ab samjha de ai kufr duhai hai teri kyun shekh ke daman se mujhko iman ki khushbu ati hai darta hun kahin is alam mein jine se na munkir ho jaun ahbab ki baton se mujhko ehsan ki khushbu ati hai

dil ko gam-e-hayat gawara hai in dinon

dil ko gam-e-hayat gawara hai in dinon pahle jo dard tha wahi chara hai in dinon ye dil zara sa dil teri yadon mein kho gaya zarre ko andhiyon ka sahara hai in dinon har sail-e-ashk sahil-e-taskin hai aj kal darya ki mauj-mauj kinara hai in dinon shamon mein ab nahin hai wo pahle si roshni shayad wo chand anjumanara hai in dinon tum a sako to shab ko barha dun kuch aur bhi apne kahe mein subah ka tara hai in dinon qurban hon jis k husn pe sau jannaten 'Qateel' nazaron k samne wo nazara hai in dinon

Tu Jo Rooti meri palkon pay nami reh jay gi

Tu Jo Rooti meri palkon pay nami reh jay gi Zindagi bas naam hi ki zindagi reh jay gi Tark-e-Ulfaat ke Irade par zara phir sochiye Main chala jaaonga aur tu dekhti reh jay gi Ye nahi Kehte ke Tuj bin Jee nahi paengy hum Haan humari Zindagi mein ik Kami reh jay gi Piyar ke sadqe ye lagta hai hamare Darmiyaan Aur kuch na bhi Raha ye Dosti Reh jay gi Main To Tae kar ke Chala jaonga duniya ka Safar Mere baren mein ye Dunia Sochti reh jay gi Zaat se Bar kar hai apni mujh ko apna piyara Fun Main Agar na bhi Raha Ye Shairi Reh jay gi

Ghamoo ki jo faseel hai

Ghamoo ki jo faseel hai wo is kadar taweel hai ghazab to hai ya ik nahii faseel dar faseel haii tum is ki her mundaaiir par arzoo'on k tail sayy charagh e dil jalaoo na zara sa muskuraoo na!! wo phir say yaad agaya jo roth kar chala gaya usay khyal bhi nahii ksi ka dil dukha gaya ab uski meethi yaad main shaboon ko jaag jaag kar ya rat jagayy manaoo na zara sa muskuraoo na ya gham humaisha ayy gain ya dil youn hi jalain gay mager khushi k atay hii ya gham bhi bhool jain gayy malool ho k gham say tum zara pulkoon pay youn hi sitaray jhilmilaoo na zara sa muskuraoo na zara sa muskuraoo na!!!

Koi pooch lay to main kia kahoon

Koi pooch lay to main kia kahoon usay kia bataoon? yeh roz-o-shab to janum janum pay muheet hain mairay zakhm zakhm dil-o-nazar mujhay is janam main nahi milay, mairay rut-jagay mairay hamsafar mairay saath aaj nahi chalay, yeh muheeb-o-jast-e-fikr jo mairay naqsh naqsh ki rooh hai koi bay-sabaat bayaan nahi yeh to aatma'oon ka aks hai yeh to deotaoon ka dihaan hai ye to janay kaisi sadi sadi ki aziyatoon ka giyaan hai yeh ajeeb mairi muhab'batain yeh ajeeb mairay gham-o-alam yeh naseeb sang-e-siyah par yeh warq warq pay garay qalam yeh kara hisaar naya nahi maira intezar qadeem hai maira us say pyar qadeem hai yeh ajeeb mairi muhab'batain

yun chup rahna thik nahin koi mithi bat karo

yun chup rahna thik nahin koi mithi bat karo mor chakor papiha koyal sab ko mat karo sawan to man bagiya se bin barse bit gaya ras mein dube nagme ki ab tum barsat karo hijr ki ik lambi manzil ko janewala hun apni yadon ke kuch saye mere sath karo main kirnon ki kaliyan chunkar sej bana lunga tum mukhre ka chand jalao raushan rat karo pyar buri shay nahin hai lekin phir bhi yar "Qateel" gali-gali taqsim na tum apne jazbat karo

zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain

zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain main to mar kar bhi meri jan tujhe chahunga tu mila hai to ye ehsas hua hai mujhko ye meri umr mohabbat k liye thori hai ik zara sa gam-e-dauran ka bhi haq hai jis par main ne wo sans bhi tere liye rakh chori hai tujh pe ho jaunga qurban tujhe chahunga apne jazbat mein nagmat rachane k liye main ne dharakan ki tarah dil mein basaya hai tujhe main tasawwur bhi judai ka bhala kaise karun main ne qismat ki lakiron se churaya hai tujhe pyar ka ban k nigehaban tujhe chahunga teri har chap se jalte hain khayalon mein chirag jab bhi tu aye jagata hua jadu aye tujhako chhu lun to phir ae jan-e-tamanna mujhko der tak apne badan se teri khushbu aye tu bahron ka hai unwan tujhe chahunga

jo ghair they wohisi baat par hamrey howay

jo ghair they wohisi baat par hamrey howay keh hum say dost buhat bay khabar hamrey howay kisay khabar keh woh muhabbat thi keh rakabt thi buhat say log tujhey dekh kar hamarey howay ab ik hujoom shikasta dilaan hai saath apney jinhain koina milaa hamsafar hamrey howay kisi nay gham tu kisi nay mizaje gham bakhsha sab apni apni jagha charah gar hamrey howay bujhay ke taak ki shmain na dekh taroon ko isi junoo main tu barbaad ghar hamrey howay woh aitamaad kahan say faraz lain gay kisi ko choor kay woh ab agar hamrey howay.

TERA DEKHNA AUR SHERMANA MUJHEY ACHA SA LAGA

TERA DEKHNA AUR SHERMANA MUJHEY ACHA SA LAGA AUR PHIR DIL MAIN BASANA MUJHEY ACHA SA LAGA...... KABHI KABHI KEHTA HON DIL SE MAIN................. TERA YOUN DIL LAGANA MUJHEY ACHA SA LAGA ROZ-O-SHAB KA MILNA KUCH THEAK NAHIN................. DUNYA WALON SE CHUPANA MUJHEY ACHA SA LAGA KOI NAHIN IS DUNYA MAIN TEREY JAISA............................... TERI TASVEER SE BAATAIN KARNA MUJHEY ACHA SA LAGA MERA BAAT BE BAAT ROOTH JANA SHAKIR...................... AUR TERA HER BAR KA MANANA MUJHEY ACHA SA LAGA