Skip to main content

Koi pooch lay to main kia kahoon

Koi pooch lay to main kia kahoon
usay kia bataoon?
yeh roz-o-shab to janum janum pay muheet hain
mairay zakhm zakhm dil-o-nazar
mujhay is janam main nahi milay,
mairay rut-jagay mairay hamsafar
mairay saath aaj nahi chalay,
yeh muheeb-o-jast-e-fikr jo
mairay naqsh naqsh ki rooh hai
koi bay-sabaat bayaan nahi
yeh to aatma'oon ka aks hai
yeh to deotaoon ka dihaan hai
ye to janay kaisi
sadi sadi ki aziyatoon ka giyaan hai
yeh ajeeb mairi muhab'batain
yeh ajeeb mairay gham-o-alam
yeh naseeb sang-e-siyah par
yeh warq warq pay garay qalam
yeh kara hisaar naya nahi
maira intezar qadeem hai
maira us say pyar qadeem hai
yeh ajeeb mairi muhab'batain

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.