Skip to main content

Aaeene se kya matlab


Aaeene se kya matlab........!!!!

Aaeene se kya matlab
aaeena to tootega
pat'tharo'n ki basti mein
... tootna muqaddar hai
phool se bhi kya shikwa
phool to bikharna hai
ke khizaa'n ki ek rutt mein
bikharna muqaddar hai
tootna muqaddar hai
zindagi se kya lena
ye to chand saanso'n ki
aaeeno ki pat'thar ki
phool aur kaante ki
pyaar aur chaahat ki
ek haseen kahaani hai
lekin ae dil-e-nadaan
tu jo itni umeedein
nit naye se kuchh sapne
dekhta hai aankho'n se
kya tujhe nahi maaloom
zindagi hai wo jiska
roothna muqaddar hai
tootna muqaddar hai...!!!!




 

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng