Skip to main content

Abr main Lepti Hoi

 
 
Abr main Lepti Hoi
Shaam K Halay Main Kharri
Ye Teri Yaad Bohat Dair Sey
Seenay Sey Lagi
Mujh Ko Afsurdah BeHaal Kiye Deti Hai
... Aik Lamhay Ko Kai Sal Kiye Deti Hai
Aatshi Lehar, Banfashi Sii Fiza
Dono EK Sath Bhi Milti Hain Kahin
Haan Magar
Yaad Teri
Koi Karamat Kr Dey
Dil Sey Pewasta Ye Umeed K Shayed Tu Kahin
Abr Main Lepti Hoi
Shaam K Halay Main Simat Aaye Yahein
Haan Magar
Sokhay Hoe Patoon Ka BeTaab Hajoom
Mujh Ko Dheeray Se Ye Kehta Hai
K Mumkin Tu Nahi....
Aur Phir Dil Ye Hazeen
Tor K Zeest Ki Umeed Sabhi
Aub Dharkta Bhi Nahi ...!!!!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.