Skip to main content

Sab Ka Ehsaan Uthane Ki Zaroorat Kiya Hai

 
Sab Ka Ehsaan Uthane Ki Zaroorat Kiya Hai
Saath Ho Tum To Zamane Ki Zaroorat Kiya Hai,

MAsla Dono Ka Hai Tay Bhi Karenge Dono
Shaher Ko Beech Mein Laane Ki Zaroorat Kiya Hai,

... Dil Se Tay Kar Kay Kisi Roz Ek Ho Jaao
Chorna Hai To Bahaane Ki Zaroorat Kiya Hai,

Khawahishen Dil Se Nikal Aaen To Hsarat Kaisi
In Parindon Ko Thikhane Ki Zaroorat Kiya Hai,

Kiya Howa Is Se Jo Pehle Saa Taluq Na Rahaa
Shaher Ko Chor K Jaane Ki Zaroorat Kiya Hai,

Ghol Chiriyon Ka Tumhen Kiyoon Nahi Acha Lagta
Jheel Mein Zaher Milane Ki Zaroorat Kiya Hai.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng