Skip to main content

is qadar musalsal thin shidaten judai ki

is qadar musalsal thin shidaten judai ki
aj pahali bar main ne us sa bevafai ki

varana ab talak yun tha khvahishon ki barish main
ya to tut kar roya ya gazalsarai ki

taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat main
aj un se majburan taza ashanai ki

ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
tune kis ghari zalim meri hamnavai ki

tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh k
ap se koi puche ham ne kya burai ki

phir qafas main shor utha qaidiyon ka aur sayyad
dekhrna ura dega phir khabar rihai ki

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.