barkain mari peyas ko aksar tari ankhin


barkain mari peyas ko aksar tari ankhin
sehra mera chehra hy samandar tari ankhin

 phir kon bhala dad-e-tabasum hi nahi dy ga
royain gi buhat muj sy bichar tari ankhain

... bojhal nazar ati hain bazahir mujy lakin
khultin hain buhat dil main utar kar tari ankhain


 ab tak mari yadon sy mitay nahi mit,ta
bhegi hoi ik sham ka manzar tari ankhain

 mumkin ho tu ik taza ghazal or b keh lon
phir orh na lain khawabon ki chadar tari ankain

 youn dekhty rehna usy acha nahi mohsin
wo kanch ka pekar hain tu pathar tari ankahin