Skip to main content

tarap uthun bhi to zalim teri duhai na dun

tarap uthun bhi to zalim teri duhai na dun
main zakhm zakhm hun phir bhi tujhe dikhai na dun

tere badan main dharakne laga hun dil ki tarah
ye aur bat k ab bhi tujhe sunai na dun

khud apne ap ko parakha to ye nadamat hai
k ab kabhi use ilzam-e-bevafai na dun

mujhe bhi dhundh kabhi mahv-e-ainadari
main tera aqs hun lekin tujhe dikhai na dun

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.