Skip to main content

Ek baat kahoon gar sunti ho?"

Ek baat kahoon gar sunti ho?"
chalo rehnay do
yay behtar hay main chup hee rahoon
main kuch naa kahoon!
jo baat naa mani jati hay uss ko kehnay kaa kea matlab?
yay socha tha ke millain gay hum
or kea kea sapnay dekhay thay
kea kea battain sochee theen!

Meray dil main thaa ke hath thaam ke bolloon gaa
kuch dair tumhari aankhon main
kuch kahay bina hee dekhonn gaa
or phir apnay labb kholoon gaa
haan boloon gaa

wo sari battain keh doon gaa
wo saray shikway kar doon gaa
main keh doon gaa........ sab keh doon gaa
kehna thee mujh ko aik hee baat

ek hasti meray dil main hay
har tanhayee mehfil main hay
wo hastee meri jaan bani
meray jeenay kaa samaan bani
meray dil main wo mehmaan bani
armaan bani----- mera maan bani
mujhay kehna thaa yay sab tum say

Par mujh ko yay maloom naa thaa
ke din wo kabhi nahi aye gaa
wo lamha jo aya bhee nahi
wo beet gea
meray dil kaa sheesha choor hua
jo hastee meri jaan bani
ek pal main hee anjaan bani

ab mujh ko kuch nahi kehna hay
chup rehna hay
dukh sehna hay
apnay laboon ko seena hay
or un zakhmoon ko seena hay
mujhay uss kay bin bhee jeena hay
ab mujh ko uss say nahi milna
or mujh ko kuch nahi kehna hay

kea toota dil jurr paye gaa?
jo waqt kaa dhara beet chuka!
murr paye gaa?????

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.