Skip to main content

Mujhe Jis Se Mohabbat Hai Usse Main Pa Nahi Sakta

Mujhe Jis Se Mohabbat Hai Usse Main Pa Nahi Sakta
Usse Paana Bohat Mushkil Usse Main Kho Nahi Sakta

Yeh Kaisa Jabr Hai Dil Per Yeh Kaisi Meri Majboori
Meri Aankhein Hain Nam Nam Si Magar Main Ro Nahi Sakta

Usse Hai Pyar Mujh Se Woh Mujhe Her Roz Kehti Hai
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Usse Main Keh Nahi Sakta

Kabhi Milta Nahi Jo Woh To Chain Aata Nahi Mujh Ko
Juddayi Ka Khayal Aaye To Phir Main So Nahi Sakta

Tera Israar Ek Din Ek Ho Jayenge Hum Dono
Mera Her Bar Keh Dena Ke Main Tera Ho Nahi Sakta.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng