Skip to main content

Ishq Humare Khiyaal Para Hai, Khawab Giya Araam Giya

Ishq Humare Khiyaal Para Hai, Khawab Giya Araam Giya
Jee Ka Jaana Thaher Raha Hai, Subah Giya Ya Shaam Giya,

Ishq Kiya So Deen Giya, Emaan Giya Islaam Giya
Dil Ne Aysa Kaam Kiya, Jis Se Main Nakaam Giya,

... Kis Kis Apne Kal Ko Ro De Hijraan Mein Bekal Us ka
Khawab Gai Hai Taab Gai Hai, Chain Giya Araam Giya,

Aaya Yahaan Se Jaan Hai To Jee Ka Chupana Kiya Hasil
Aaj Giya Ya Kal Jaawega Subah Giya Yaa Shaam Giya,

Hay Jawani Kiya Kehiye Shor Saron Mein Rakhte Thay
Ab Kiya hai Woh Ehd Giya, Woh Mosam Woh Hangaam Giya,

Gaali, Jhirki,Khashm-o-Khashonat Yeh To Sar-e-Dast Aksar Hain
Lutf Giya, Ehsaan Giya, Inaam Giya, Ikraam Giya,

Likhna Kehna Tark Howa Tha Apas Mein To Muddat Se
Ab Jo Qaraar Kiya Dil Se, Khat Bhi Giya Piyaam Giya,

Naala-e-"Meer" Aswaad Mein Hum Tak Dosheen Shab Se Nahi Aaya
Shayad Shaher Se Zalam Kay, Asihq woh Badnaam Giya.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng