Skip to main content

Aansu'on ki jahaan payamaali rahi

Aansu'on ki jahaan payamaali rahi
Aisii bastii charaagon se Khaali rahi

Dushman'on ki tarah us se larte rahe
Apani chaahat bhi kitni niraali rahi

Jab kabhi bhi tumhaara Khayaal aa gaya
Phir kai roz tak bekhayali rahi

Lab tarasate rahe ik hansi ke liye
Meri kashti musaafir se Khaali rahi

Chaand taare sabhi ham-safar the magar
Zindagi raat thi raat kaali rahi

Mere siine pe Khushbu ne sar rakh diyaa
Merii baanho'on mein phuloon ki Daali rahi

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.