Skip to main content

Dost Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain,


Dost Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain,
Har Naye Morr Pey Ekk Zakhm Naya Detey Hain…

Tum Say To Khair Gharrhi Bhar Ki Mulaqaat Rahi,
Log Sadiyon Ki Rafaaqat Ko Bhula Detey Hain,
... Har Naye Morr Pey Ekk Zakhm Naya Detey Hain,
Dost Kya Khoob Wafaaon Ka sila Detey Hain...

Kaisey Mumkin Hai Dhuwaan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jaley,
Chott Parrti Hai To Pathar Bhi Sadaa Detey Hain,
Har Naye Morr Pey Ekk Zakhm Naya Dete Hain,
Dosy Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain...

Kon Hota Hai Museebat Mein Kisi Ka Aey Dost,
Aag Lagti Hai To Patey Bhi Hawa Detey Hain,
Har Naye Morr Pey Zakhm Naya Detey Hain ,
Dost Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain...

Jin Pey Hota Hai Bohat Dil Ko Bharosa,
Waqat Parrney Pey Wohi Log Daghaa Detey Hain ,
Har Naye Morr Pey Ekk Zakhm Naya Detey Hain,
Dost Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain...

Har Naye Mor Pey Ekk Zakhm Naya Detey Hain,,,
Dost Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain... !!!!



.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.