Skip to main content

ye kya k sab se bayan dil ki halaten karni

ye kya k sab se bayan dil ki halaten karni
'Faraz' tujh ko na ain muhabbaten karani

ye qurb kya hai k tu samane hai aur hamain
shumar abhi se judai ki sa'aten karani

koi khuda ho k patthar jise bhi ham chahen
tamam umr usi ki ibadaten karni

sab apne apne qarine se muntazir us k
kisi ko shukr kisi ko shikayaten karani

ham apne dil se hain majabur aur logon ko
zara si bat pe barpa qayamaten karani

milen jab un se to mubaham si guftagu karna
phir apne ap se sau-sau vazahaten karani

ye log kaise magar dushmani nibhaten hain
hamin ko ras na ain muhabbaten karani

kabhi 'Faraz' naye mausamon main ro dena
kabhi talash purani raqabaten karani

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.