Skip to main content

Un k aane ka he imkaan Khuda khair kare

Un k aane ka he imkaan Khuda khair kare,
Dil pe guzrega ye toofan Khuda khair kare,
Wo to hain oonche mehlon k rehne wale,
Aur mera ghar beyyabaan Khuda khair kare,
Un ka kehna he k mehfil me uthayenge naqaab,
Mera kho jaye na eemaan Khuda khair kare,
Wo ye kehte hen is

baar judai hogi apni,
Main ye kehta hon meri jaan Khuda khair kare,
Maine maangi he wafa aur wafa k badle,
Us ne maangi he meri jaan Khuda khair kare.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.