Skip to main content

Judaai deny waley tum sy umeed-e-wafa kaisi…!


Judaai deny waley tum sy umeed-e-wafa kaisi…!
Ta’alluq toot jaye jub,
Mohabbat rooth jaye jub,
Tu phir rasm-e-dua kaisi ?
Bhanwar mein dolti kashti pe..
... sahil ki tamanna kya ?
ukhartey saans hon tu..
zindagi ki aarzoo bhi kya ?
jo manzil kho chuki ho
uski phir sy justajoo bhi kiyon ?
razaa-e-dost per acha, sar-e-tasleem kham kerna
si’saknay sy yehi behter hai, na-umeed hi marna
Magar…
Dil ne tumhy kis wastay sy yaad rakha hai ?
Tumhy kiyon shaa’iri mein aaj tak aabaad rakha hai ?
Abhi tak main ne kiyon khud ko barbaad rakha hai ?
Hawa k dosh pe kiyon naghma-e-faryaad rakha hai ?
Judaii deny waley….
Aashnaai ki qasam tum ko
Tumhari bewafaai, kajj-adaai ki qasam tum ko
Mujhe itna bta dena
Wafa ki chaahto’n ki mash’alein kaisy bujhatey hein ?
Nishaa’n kaisy mitaatey hein ?
Bhulana ho jin ko unhein,
Bhla kaisy bhulatey hein ?
Judaai deny waley tum sy umeed-e-wafa kaisi…!!!!


 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.