Roktaa Hai Gham-e-Izhaar Se Pindaar Mujhe
Mere Ashkon Se Chupaa Le Mere RuKhsaar Mujhe,
Dekh Aye Dasht-e-Junoon Bhed Na khulne Paaye
Dhoondhne Aaye Hain Ghar K Dar-o-Deewaar Mujhe,
... Si Diye Honth Usi ShaKh ki Majboori Ne
Jis ki Qurbat Ne kiya Mehram-e-Asraar Mujhe,
Meri Aankhon ki Taraf Dekh Rahe Hain Anjum
Jaise Pehchaan Gai Ho Shab-e-Bedaar Mujhe,
Jins-e-Weeraani-e-Sehraa Meri Dukaan Mein Hai
kiya khareedega Tere Shaher kaa Baazaar Mujhe,
Jaras-e-Gul Ne kai Baar Bulaayaa Lekin
Le Gai Raah Se Zanjeer ki Jhankaar Mujhe,
Naavak-e-Zulm Uthaa Dashnaa-e-Andoh Sambhaal
Lutf Kay Khanjar-e-Benaam Se Mat Maar Mujhe,
Saari Duniya Mein Ghani Raat kaa Sannaataa Thaa
Sahan-e-Zindaan Mein Mile Subah K Aasaar Mujhe.