Skip to main content

muttafavatain hain mere khuda ki ye tu nahin koi aur hai

muttafavatain hain mere khuda ki ye tu nahin koi aur hai
ki tu asaman pe ho to ho pisar-e-zamin koi aur hai

wo jo raste the vafa ke the ye jo manzilain hain saza ki hain
mera hamsafar koi aur tha mera hamnashin koi aur hai

mere jism-o-jan main tere siva aur koi bhi dusra
mujhe phir bhi lagta hai is tarah ki kahin kahin koi aur hai

main asir apne gazal ka main faqir dasht-e-visal ka
jo hiran ko bandh ke le gaya wo subuktagin koi aur hai

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng