Mehak mein Saray haroof dho kar,
Sana’e'Rab’e'Jalil likhun
Taveel tar Se Taweel likhun
Jamal likhun Jameel likhun
usi ko uski daleel likhun
Kahan nhi tha kahan nhi hai
Muje bta Wo jahan nhi hai
Azal Se hai ta’Abud rhey Ga
Wo Aap Apni Sanad rhey Ga
Wohi to hai La Sharik o Yakta
Wo Sab ka Khaliq Wo Sab ka Aaqa
Wo Sab k andr Wo Sab k bahir
Wo Sab Se Aala Wo Sab Se bar tar
Rahim o Rehman Sifaat uski
Bari Karim hai zaat uski
Sana’e'Rab’e'Jalil likhun
Taveel tar Se Taweel likhun
Jamal likhun Jameel likhun
usi ko uski daleel likhun
Kahan nhi tha kahan nhi hai
Muje bta Wo jahan nhi hai
Azal Se hai ta’Abud rhey Ga
Wo Aap Apni Sanad rhey Ga
Wohi to hai La Sharik o Yakta
Wo Sab ka Khaliq Wo Sab ka Aaqa
Wo Sab k andr Wo Sab k bahir
Wo Sab Se Aala Wo Sab Se bar tar
Rahim o Rehman Sifaat uski
Bari Karim hai zaat uski