Skip to main content

Kuch bhi to nahi wesa


Kuch bhi to nahi wesa
jesa tujhy socha tha
jitna tujhy chaha tha
socha tha tery lub per
kuch hurf duaon k
... kuch phool wafaon k
mehkyn gay meri khatir
Kuch bhi to nahi wesa
jesa tujhy socha tha
mehsoos yeh hota hy
dukh jheely thy jo abb tak
by-naam musafat main
likhny ki muhabbat main
perhny ki zaroorat main
by-sood riyazat thi
by-faiz ibadat thi
jo khuab bhi dekhy thy
in jagti ankhon ny
sab khaam khayali thi
phir bhi tujhy pany ki
dil k kisi gooshy main
khuahish to bacha li thi
lakin tujhy pa ker bhi
or khud ko gunwa ker bhi
iss hubs k musam ki khirki sy hawa aai
na phool sy khushboo ki koi bhi sada aai
aab neend hy ankho main
na dil main pehli si taza sukhan-aaraee
na lufz mery nikly
na hurf-0-maani ki danish mery kaam aai
NA-DEEDA RAFAQAT MAIN
JITNI BHI AZIYAT THI
sab mery hi naam aai
Kuch bhi to anhi wesa
jesa tujhy soocha tha
jitna tujhy chaha tha..!!!!


Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.