Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2013

yaade.n chalii.n Khayaal chalaa ashk-e-tar chale

yaade.n chalii.n Khayaal chalaa ashk-e-tar chale lekar payaam-e-shauq ka_ii naamabar chale [payaam = message; naamabar = messenger] dil ko sa.nbhaalate rahe har haadase pe ham ab kyaa kare.n ki Khud tere gesuu bikhar chale [haadasaa = accident; gesuu = hair] har gaam pe shikast ne yuu.N hausalaa diyaa jis tarah saath saath ko_ii ham_safar chale [gaam = step; shikast = defeat; hausalaa = courage] [ham_safar = fellow traveller] shauq-e-talab na ho ko_ii baang-e-jaras to ho aaKhir ko_ii chale to kis ummiid par chale [shauq-e-talab = wish for desire] [baang-e-jaras = tolling of the caravan bell] ab kyaa karoge sair-e-chaman_zaar-e-aarazuu rut jaa chukii cha.Dhe hue dariyaa utar chale [sair = stroll; chaman_zaar-e-aarazuu = garden of desire/wishes] raaho.n me.n 'Hosh' sang barasate hai.n har taraf lekar ye kaaravaan-e-tamannaa kidhar chale [sang = stone; kaaravaan-e-tamannaa = caravan of wishes]

laayegaa rang zabt-e-fuGaa.N dekhate raho

laayegaa rang zabt-e-fuGaa.N dekhate raho phuTegii har kalii me.n zubaa.N dekhate raho [zabt = restraint] barpaa sar-e-hayaat hai ik hashr-e-daar-o-giir detaa hai kaun kis ko amaa.N dekhate raho [sar-e-hayaat = in life;amaa.N = protection/safety] dam bhar ko aastaan-e-tamannaa pe hai hujuum jaaye bichha.D ke kaun kahaa.N dekhate raho [aastaan = threshold; hujuum = crowd] milane ko hai Khaamoshii-e-ahal-e-junuu.N kii daad uThane ko hai zamii.n se dhuaa.N dekhate raho [daad = praise] mahafil me.n un kii shama jalii hai ki jaan-o-dil khulataa hai kab ye raaz-e-nihaa.N dekhate raho [raaz-e-nihaa.N = buried/hidden secret] aa_ii nigaar-e-Gam kii sadaa 'Hosh' ham chale tum imtiyaaz-e-suud-o-ziyaa.N dekhate raho [nigaar-e-Gam = picture of sadness] [imtiyaaz-e-suud-o-ziyaa.N = differentiate between profit and loss]

maa.N sunaao mujhe vo kahaanii

maa.N sunaao mujhe vo kahaanii jis me.n raajaa na ho na ho raanii jo hamaarii tumhaarii kathaa ho jo sabhii ke hriday kii gaathaa ho ga.ndh jis me.n ho apanii dhaaraa kii baat jis me.n ho apasaraa kii ho na pariyaa.N jahaa.N aasamaanii vo kahaanii jo ha.Nsanaa sikhaa de peT kii bhuukh ko bhii miTaa de jis me.n sach kii bhaarii chaa.Ndanii ho jis me.n ummiid kii roshanii ho jis me.n na ho kahaanii puraanii

cheharo.n kii dhuup aa.Nkho.n kii geharaa_ii le gayaa

cheharo.n kii dhuup aa.Nkho.n kii geharaa_ii le gayaa aa_iinaa saare shahar kii biinaa_ii le gayaa Dube huye jahaaz pe kyaa tabsaraa kare.n ye haadasaa to soch kii geharaa_ii le gayaa haalaa.Nki bezubaan thaa lekin ajiib thaa jo shaKhs mujh se chhiin ke goyaa_ii le gayaa is vaqt to mai.n ghar se nikalane na paa_uu.Ngaa bas ek kamiiz thii jo meraa bhaa_ii le gayaa jhuuTe qasiide likhe gaye us kii shaan me.n jo motiyo.n se chhiin ke sachchaa_ii le gayaa yaado.n kii ek bhii.D mere saath chho.D kar kyaa jaane vo kahaa.N merii tanhaa_ii le gayaa ab asad tumhaare liye kuchh nahii.n rahaa galiyo.n ke saare sang to saudaa_ii le gayaa ab to Khud apanii saa.Nse.n bhii lagatii hai.n bojh sii umro.n kaa dev saarii tavanaa_ii le gayaa

aa.Nkh pyaasii hai ko_ii manzar de

aa.Nkh pyaasii hai ko_ii manzar de is jaziire ko bhii samandar de apanaa cheharaa talaash karanaa hai gar nahii.n aa_inaa to patthar de band kaliyo.n ko chaahiye shabanam in chiraaGo.n me.n roshanii bhar de pattharo.n ke saro.n se karz utaar is sadii ko ko_ii payambar de kah_kaho.n me.n guzar rahii hai hayaat ab kisii din udaas bhii kar de phir na kahanaa ke Khud_Khushii hai gunaah aaj fursat hai faisalaa kar de

ham dostii ehasaan vafaa bhuul gaye hai.n

ham dostii ehasaan vafaa bhuul gaye hai.n zindaa to hai.n jiine kii adaa bhuul gaye hai.n Khushbuu jo luTaate hai.n masalate hai.n usii ko ehasaas kaa badalaa ye milataa hai kalii ko ehasaas to lete hai.n silaa bhuul gaye hai.n karate hai.n muhabbat kaa aur ehasaas kaa saudaa matalab ke liye karate hai.n iimaan kaa saudaa Dar maut kaa aur Khauf-e-Khudaa bhuul gaye hai.n ab mom me.n Dhalakar ko_ii patthar nahii.n hotaa ab ko_ii bhii qurbaan kisii par nahii.n hotaa kyuu.N bhaTake hai.n manzil kaa pataa bhuul gaye hai.n

ab kii baras bhii vo nahii.n aayaa bahaar me.n

ab kii baras bhii vo nahii.n aayaa bahaar me.n guzaregaa aur ek baras intazaar me.n ye aag ishq kii hai bujhaane se kyaa bujhe dil tere bas me.n hai na mere iKhtiyaar me.n hai TuuTe dil me.n terii mohabbat teraa Khayaal Khush-rang hai bahaar jo guzarii bahaar me.n aa.Nsuu nahii.n hai aa.Nkho.n me.n lekin tere baGair vo kaa.Npate huye hai.n dil-e-beqaraar me.n

Be-dilli kya yunhi din guzar jain gay

Manzil qareeb aye koi rasta milay

Manzil qareeb aye koi rasta milay Dashte jono main sath agar ap ka milay Hum ne to kher aap ko manga hai aap se Logo jo milay ho bay namay Khuda milay Is baar wasal e yaar bhi marnay k baad ho Is baar hum ko jurm se pahlay saza milay Kese smait patay wafao k boj ko Sad shukar hum ko dost sabhi bay wafa milay Khamoshion ki zad main hai alham ki urhan Wo lab hilain to mere hunar ko sada milay Wo hussan e bay misa agar sath ho Hassan Phir chahay umer bhar na koi dosra milay

Sakote marg k saye bich k lehje main

Sakote marg k saye bich k lehje main Phir is ne hum ko pukara Khuda k lehje main Main tuj ko mang raha hun bari aqeedat se Magar wo dard nahi hai doya k lehje main Mere shaor k awaz phir se jaag uthi Tumhare naam ki kirnein saja k lehje main Kahan se sekh liye ahal e dard k andaz Sadayen day rahay ho qaza k lehje main Ghamo ki bheer main hum kho gaye hain our hassan Koi bolata nahi dilruba k lehje main

Jinay k hunar kaha se laon

Jinay k hunar kaha se laon Wo kocha wo ghar kaha se laon Jo teri nazar ko jhel paye Main aysi nazar kaha se laon Chehro k hajoom se chura ker Main aik bashar kaha se laon Sajday to talash ker laytay hain Lakin tera ddar kaha se laon Kuch lafz hain mere pass lakin Lahjay main asar kaha se alon Jo aap ki qurbato main guzray Wo shaam o sehar kaha se laon Ik roz mujay kaha ye dil ne Main apni khabar kaha se laon Wo sahil keray her ik manzil Wo azm e safar kaha se laon Sed shukar k Hassan nind a gai Ik khawab magar kaha se laon

Shawor e zaat se jab hamkalam hotay hain

Shawor e zaat se jab hamkalam hotay hain Fana k boj ko hum anson se dhondtay hain Khushi phol bus ik pal main sokh jayen gay Chalo hayat main kuch talkhiyan parotay hain Hamari nind hamesha ki nind hoti hai Hum ahal e dard ko sirf aik baar sotay hain Zara c dair main malk e adam k sanatay Rdaye waqat k saray nishan dhotay hain Wafa ki rah main chalta nahi hai sath koi K ronay walay hamesha akelay rotay hain Wo ja choka hai to kaya gham k sub ko jana hai Hassan hum is liye daman ko kiyn bighotay hain

Talkhion ka zehar dil main bhar gaye bewafa sorj ki harjai kirn

Talkhion ka zehar dil main bhar gaye bewafa sorj ki harjai kirn Mere angan main andhera ker gai bewafa sorj ki harjai kirn Jinay marnay ka irad yaad tha us ko to her aik wada yaad tha Han magar ruswaion se dar gai bewafa sorj ki harjai kirn Khud se akasar pochta rahta hun main her ghari ye sochta rahta hun Muj ko cho ker janay kis k ghar gai bay bewafa sorj ki harjai kirn Dar badr ho ker jidar bhi jayen zindgi se hum kaha mil payen gay Ay hassan apnay liye to mar gai  bay bewafa sorj ki harjai kirn

Talohe subha ka manzar kabi to aye ga

Talohe subha ka manzar kabi to aye ga Wo shakas roshni lay ker kabi to aye ga Hum is umeed pay maho safar hain mudat se K rastay main ter ghar kabi to aye ga Khumare bandgi urhay hoye koi jazba Tumhari roh ko cho ker kabi to aye ga Kabhi to sekhay ga wo khud supardgi ka hunar Wo apni zaat se bahir kabhi to aye ga Abhi to us se hazaro sawal kernain hain Jo ja choka palat ker kabhi to aye ga Main moj moj use roh main utarun ag Wo khusbuo ka samandar kabhi to aye ga Hamara naam bhi shamil tere jawab main hai Sawal e qisa mahshar kabhi to aye ga Hassan bikhrnay ko bay taab hai ye shisha dil Kisi ki yaad ka pathar kabhi to aye ga

Ye kab kaha hai k marne ki bat yar na kar

Ye kab kaha hai k marne ki bat yar na kar Magar ye tazkara hijar bar bar na kar Wo ik karm se sabhi kuch tujay bhula day ga Tu is liye sitam is k shumar na kar Nazar ko rok kisi arzo k sahil par Ab is k hussan k dariya ko ayse paar na kar Koi umeed na rakh ab kisi k anay ki Jo waqat beet gaya us ka intzar na kar Sokun bohat hai yahan doriyo k sehra main Qareen a k hamain phir se be qarar na kar Smaj ly is ko bhi hiqmat koi Khuda ki Hassan Wo ja chuka hai to yun khud ko sogawr na kar

jinHeiN maiN DHoonDta tha AasmanoN meiN zaminoN meiN

jinHeiN maiN DHoonDta tha AasmanoN meiN zaminoN meiN woh nikle mere zulmat-e-dil ke makinoN meiN. agar kuchH ashna hota mazaaq-e-jabba sa'ee se to sang-e- Aastaan-e-ka’ba ja milta jabinoN meiN kabHee apna bHee naZaara kya hai tu ne ae majnooN ke laila kee tara tu hai maHmal nashinoN meiN maheene waxal kee gHaRion ke surat uRte jaate haiN magar gHaRiaN judaa’i kee guzartee haiN mahinon meiN mujHe rokega tu ae naakhuda kya gharaq hone se ke jin ko Doobna hai Doob jaate heiN safinoN meiN jala saktee hai shama-e-kushta-e-maoj-e-nafas unkee Illahee kya chHupa hota hai ahl-e-dil ke seenoN meiN tamanna dard-e-dil kee ho to kar khidmat faqeerooN kee naheeN milta yeh gohar baadshaahoN ke khazinoN meiN na poochH In khurqa poshoN kee Iraadat ho to dekH Inko yad-e-baizza la'e baitHe haiN Zaalim AastinoN meiN mohabbat ke la'e dil DHoonD ko'ee TuTne waala yeh woh ma'e hai jise rakHte haiN nazak AabginoN meiN namaayaan ho ke dikHla de kabHee Inko jamaa...

sar meiN sauda bHee naheeN dil meiN tamanna bHee naheeN

sar meiN sauda bHee naheeN dil meiN tamanna bHee naheeN laikan Is tark-e-mohabbat ka bHarosa bHee naheeN dil kee gintee na yaganoN meiN na beganoN meiN laikan is jalwa-gah-e-naaz se uTHta bHee naheeN shikwa-e-jor kare kya ko'ee os shookh se jo saaf qa'al bHee naheeN saaf mukarta bHee naheeN meharbanee ko mohabat naheeN kahte ae doast Aah ab mujH se teree ranjish-e-bejaa bHee naheiN baat yeh he keh sakoon-e-dil-waHshee ka maqaam kunj-e-zindaaN bHee naheeN wus'at-e-saHra bHee naheeN muddateiN hu'en ke teree yaad bHee aa'ee na hameiN aur tumheiN bHool gaye hoN aisa bHee naheeN

ho kiyooN na tere kaam meiN hairaan tamaasha

ho kiyooN na tere kaam meiN hairaan tamaasha yaa rab teree qudrat meiN hai har Aan tamaasha le 'arsh se ta farsh na’e rang na’e DHang har shakal-e-ja’b hai har ik shaan tamaasha aflaak peh taaroN kee jHamaktee hai tallismat aur ro’e zameeN par gul-o-reHaan tamaasha jannat paree dev mallik Hoor bHee naadir Insaan ajooba haiN to Hewan tamaasha jab Husn ke jatee hai muraqah peh naZar Aah kya kya naZar Aata hai her ik AaN tamaasha

kuchH yaadgaar shahre sitamgar hee le chaleN

kuchH yaadgaar shahre sitamgar hee le chaleN Aa'e heiN Is galee meiN to pathar hee le chaleN yoon kis tarah kaTe ga kaRee dHoop ka safar sar par khayaal-e-yaar kee chaadar hee le chaleN ranj-e-safar kee ko'ee nishaanee to paas ho tHoree see khaak koocha' dilbar hee le chaleN yeh keh ke chaiRtee hai hameeN dil gariftgee gHabra ga'e heiN Aap tu bahaar hee le chaleN Is shahre be-charagh meiN ja'e gee tu kahaaN Aa ae shab-e-faraaq tujHe gHar hee le chaleN

dukH kee lahr ne chHeRa ho ga

dukH kee lahr ne chHeRa ho ga yaad ne kankar pHeiNka ho ga Aaj to mera dil kehta hai tu Is waqt aakela ho ga mere choome ho'e hatHooN se aurooN ko khat likHta ho ga bHeeg chaleeN ab raat kee palkeiN tu ab tHak kar soya ho ga rail kee gahree seetee sun kar raat ka jungle gooNja ho ga shahr ke khaalee staishan par ko'ee musaafar utra ho ga Aangan meiN pHir chiRyaan boleiN tu ab so kar uTHa ho ga yaadooN kee jaltee shabnam se pHool sa mukHRa dHoya ho ga motee jaisee shakal bana kar Aa'ene ko takta ho ga shaam ho'ee ab tu bHee shaayad aapne gHar ko laoTa ho ga neelee dHundlee khaamooshee meiN taarooN kee dHun sunta ho ga mera saatHee Shaam ka taara tujh se AankH milaata ho ga shaam ke chalte hatH ne tujh ko mera salaam to bHeja ho ga. piyaasee kurlaatee koonjooN ne mera dukH to sunaaya ho ga meiN to Aaj bahot roya hooN tu bHee shaayad roya ho ga Nasar tera meet purana tujH ko yaad to Aata ho ga

koft se jaan lab pe Aa’ee hai

koft se jaan lab pe Aa’ee hai ham ne kya choT dil pe kHa’ee hai likHte ruq’a likH gaye dafter shauq ne baat kya baRHa’ee hai deednee hai shikastagi dil kee kya 'maarat ghamooN ne DHaa’ee hai hai taxan’a ke laal haiN woh lab ya’nee ik baat see baRHa’i hai dil se nazdeek aur itna door kis se osko kuchH Aashna’ee hai yaaN ho’ee khaak se brabar ham wahaN wohee naaz-e-khud numa’ee hai marg-e-majnooN peh 'qal gum hai Meer kya diwaane ne maut pa’ee hai

tuhmateiN chund apne Zimme dHar chale

tuhmateiN chund apne Zimme dHar chale kis li'ye aa'e ham kya kar chale zindagee hai ya ko'ee tufaan hai hum to is jeene ke hatHooN mar chale kya hameiN ab iN gulooN se ae saba aik dam ai'e idHar udHar chale dosto dekHa tamasha yaaN ke bas tum raho ab ham to apne gHar chale ah bas jee mat jala tab jani'e jab ko'ee afsooN tera os par chale DHoonDte heiN Aap se osko pare sheikh saahib chHoR gHar bahar chale ham jahaaN meiN aa'e the tanha wale saatH apne ab osey le kar chale jooN sharar ae hastee be bood yaaN baare ham bHee apnee baaree bHar chale saqiaa yaaN lag raha hai chal chala'o jab talak bas chal sake saaghar chale Dard kuchH ma'loom hai yeh log saab kis taraf se ai'e the kidHar chale

achHa jo khafa hum se ho tum ae sanam achHa

achHa jo khafa hum se ho tum ae sanam achHa lo hum bHee na boleiN ge khuda kee qasam achHa mashghool kya chahee'e Is dil ko kisee Taur le laiwaiN ge DHoonD aur ko'ee yaar hum achHa garmee ne kuchH Aag aur hee seene maiN laga dee her Taur gharaX Aap se milna hai kam achHa aghyar se karte ho mirre saamne baateeN mujH par yeh lage karne niya tum sitam achHa kah kar ga'e: Aata hoaN ko'ee dam meiN, maiN tum paas pHir de chale kal kee see tarah mujH ko dam achHa Is hast'ee mohoom se maiN tang hoaN Insha' wallah keh os se bamraatab 'dam achHa

hai justajoo ka khoob se khoob tar kahaaN

hai justajoo ka khoob se khoob tar kahaaN ab THertee hai dekHe'e ja kar nazar kahaaN heiN daur jaam awal shab meiN khudee se door hotee hai Aaj dekh'e hum ko saHar kahaN yaa rab Is ikhtalaat ka anjaam hoa bakhair tHa osko ham se rabt magar Is qudar kahaaN bas ho chuka biyaaN kasl-o-ranj raah ka khat ka mirre jawaab hai ae naama bar kahaan ham jis peh mar rahe heiN woh hai baat hee kuchH aur 'alam mein tujh se laakH sahee to magar kahaaN hotee naheeN qubool d'aa turk-e-ishq kee dil chahata na ho to zabaaN meiN acar kahaaN Hali nishaat naghma-o-ma'e DHonDte ab Aa'e hoe waqt subah rahe raat bHur kahan

yaad kar woh din keh tera ko'ee saoda'ee na tHa

yaad kar woh din keh tera ko'ee saoda'ee na tHa baawajood Husn to Aagah re'naa'ee na tHa 'shq roaz afzooN pah apne mujH ko Hairaanee na tHee jalwa' rangeeN pah tujH ko naaz yakta'ee na tHa deed ke qaabil tHee mere 'shq kee bHee saadgee jabka tera Husn sargarm khud Aara'ee na tHa kya ho'e woh din kah maHw Aarzoo tHe Husn o 'shq rabt tHa doonooN meiN go rabt-e-shanasaa'ee na tHa to ne Hasrat kee 'yaaN tehzeeb rasm-e-'aashqee Is se pahle i'tbaar shaan ruswaa'ee na tHa

yeh kiya keh aik jahaaN ko karo waqaf izztarab

yeh kiya keh aik jahaaN ko karo waqaf izztarab yeh kiya keh aik dil ko shateeba na kar sako aisa na ho yeh dard bane dard laazawal aisa nah ho keh tum bHee madaawa na kar sako shayad tumHaiN bHee chain na Aa'e mirre baghair shayad yeh baat tum bHee gawaara na kar sako kya jaane pHir sitam bHee muyassar ho na ho kya jaane yeh karam bHee karo yaa nah kar sako Allah kare jahaaN ko miree yaad bHool ja'e Allah kare keh tum kabHee aisa na kar sako mere siwa kisee kee na ho tum ko justajoo mere siwa kisee kee tamanna na kar sako

Ik din

Ik din Tum ne muj se kaha tha Dhoop kari hai Apna saya sath he rakhna Waqat k tarkash main jo teer thay khul ker barsay hain Zard hawa k pathrilay jhonko se Jism ka panchi gayal hai Dhoop ka jangal payas ka dariya Aysay main anso aik aik bond ki Insan tarsy hain Tum ne muj se kaha tha Samay ki bahti nadi main Lamhay ki pahcha bhi rakhna Meray dil main jhak k dekho Dekho sato rang ka phol khila Wo lamha jo mera tha wo mera hai Waqat k payqa bay shak tan per an lagay Dekho is lamhay se kitna gehra rishta hai Khushbo band darechay khol rahi hai Chandni rato sa mosan bhi Kaliyan bhi hain shaban bhi Ye sub meray ayinay hain Our her ayinay main tum ho!

Ye fakhar to hasil hai buray hain k bhalay hain

Ye fakhar to hasil hai buray hain k bhalay hain Do char qadam hum bhi tere sath chalay hain Jalna to charagho k muqadar hai azal se Ye dil k kanwal hain k bujay hain na jalay hain Nazuk thay kahin rango baye saman se Jazabat k adab k sanchay main dalay hain Thay kitnay sitaray k sahar sham he dobay Hangam sahar kitnay he khursheed dhalay hain Jo jheel gaye huns k kari dhoop k taywar Toro ki khanak chaon main wo log jalay hain Jab tere tasawar ne jalai nahi shamain Lamhat wohi apany dil o jan pay khilay hain Khushbo se to andaza e shaban nahi hota Wo kon se nagmay thay k pholo main dhalay hain Ik shama bujai to kai our jala lin Hum gardishe doran se bari chal chalay hain

shaayad abhii hai raakh me.n ko_ii sharaar bhii

shaayad abhii hai raakh me.n ko_ii sharaar bhii kyo.n varnaa intazaar bhii hai iztiraar bhii [sharaar = spark; iztiraar = restlessness] dhyaan aa gayaa hai marg-e-dil-e-naamuraad kaa milane ko mil gayaa hai sukuu.N bhii qaraar bhii [marg-e-dil-e-naamuraad = death of an unsuccessful/unlucky heart] ab Dhuu.NDhane chale ho musaafir ko dosto hadd-e-nigaah tak na rahaa jab Gubaar bhii [hadd-e-nigaah = (to the) limits of one’s vision] har aastaa.N pe naasiyaa_farsaa hai.n aaj vo jo kal na kar sake the teraa intazaar bhii [aastaa.N = threshold; naasiyaa_farsaa = one who rubs his forehead] [ik raah ruk ga_ii to ThiThak kyo.n ga_ii ’Ada’ aabaad bastiyaa.N hai.n pahaa.Do.n ke paar bhii

na Gubaar me.n na gulaab me.n mujhe dekhanaa

na Gubaar me.n na gulaab me.n mujhe dekhanaa mere dard kii aab-o-tab me.n mujhe dekhanaa kisii vaqt shaam malaal me.n mujhe sochanaa kabhii apane dil kii kitaab me.n mujhe dekhanaa kisii dhun me.n tum bhii jo bastiyo.n ko tyaag do isii rah-e-Khaanaa_Kharaab me.n mujhe dekhanaa kisii raat maah-o-najuum se mujhe puuchhanaa kabhii apanii chashm pur_aab me.n mujhe dekhanaa isii dil se ho kar guzar gaye ka_ii kaaravaa.N kii hijrato.n ke zaab me.n mujhe dekhanaa mai.n na mil sakuu.N bhii to kyaa huaa ke fasaanaa huu.N na_ii daastaa.N naye baab me.n mujhe dekhanaa mere Khaar Khaar savaal me.n mujhe Dhuu.NDhanaa mere giit me.n mere Khvaab me.n mujhe dekhanaa mere aa.Nsuo.n ne bujhaa_ii thii merii tashnagii isii barg_ziidaa sahaab me.n mujhe dekhanaaa vahii ik lamhaa diid thaa ke rukaa rahaa mere roz-o-shab ke hisaab me.n mujhe dekhanaa jo ta.Dap tujhe kisii aa_iine me.n na mil sake to phir aa_iine ke javaab me.n mujhe dekhanaa

Loota Loota K Tery Ghum Pey Her Khushi Main Ney

Loota Loota K Tery Ghum Pey Her Khushi Main Ney Bohat Qareeb Sey Dekhi Hai Zindgi Main Ney Meri Niga Sey Liya Hai Daras-e-Wafa Tu Ney Teri Niga Sey Sekhi Hai Bey Rukhi Main Ney

Na theen aur koi bhi ranjishein

Na theen aur koi bhi ranjishein, Sirf aadaton mein tzaad tha, Keh ussey pasand theen shokhiyan, Mujhey saadgi mein kamal tha….!

Payas Kehti Hai Kay Ab Rait Nachori Jaye

Payas Kehti Hai Kay Ab Rait Nachori Jaye Apne Hisay Mein Samandar Nahi Ane Wala

purasish-e-Gam kaa shukriyaa, kyaa tujhe aagahii nahii.n

purasish-e-Gam kaa shukriyaa, kyaa tujhe aagahii nahii.n tere baGair zindagii dard hai, zindagii nahii.n daur thaa ek guzar gayaa, nashaa thaa ek utar gayaa ab vo muqaam hai jahaa.N shikvaa-e-beruKhii nahii.n tere sivaa karuu.N pasa.nd kyaa terii qaayanaat me.n dono.n jahaa.N kii ne_amate.n, qiimat-e-ba.ndagii nahii.n laakh zamaanaa zulm Dhaaye, vaqt na vo Khudaa dikhaaye jab mujhe ho yaqii.n ki tuu haasil-e-zindagii nahii.n dil kii shaguftagii ke saath raahat-e-mayakadaa ga_ii fursat-e-mayakashi to hai, hasarat-e-mayakashii ga_ii zaKhm pe zaKhm khaake jii, apane lahuu ke ghuu.NT pii aah na kar, labo.n ko sii, ishq hai dillagii nahii.n dekh ke Khushk-o-zard phuul, dil hai kuchh is tarah maluul jaise terii Khizaa.N ke baad, daur-e-bahaar hii nahii.n

sirf ashk-o-tabassum me.n ulajhe rahe

sirf ashk-o-tabassum me.n ulajhe rahe hamane dekhaa nahii.n zindagii kii taraf raat Dhalate jab unakaa Khayaal aa gayaa Tik-Tikii ba.Ndh ga_ii chaa.Ndanii kii taraf kaun saa jurm hai,kyaa sitam ho gayaa aa.Nkh agar uTh ga_ii, aap hii kii taraf jaane vo multafit ho.n kidhar bazm me.n aa.Nsuuo.n kii taraf yaa ha.Nsii kii taraf

yuu.N na mil mujh se Khafaa ho jaise

yuu.N na mil mujh se Khafaa ho jaise saath chal mauj-e-sabaa ho jaise log yuu.N dekh kar ha.Ns dete hai.n tuu mujhe bhuul gayaa ho jaise ishq ko shirk kii had tak na ba.Daa yuu.N na mil hamase Khudaa ho jaise maut bhii aa_ii to is naaz ke saath mujhape ehasaan kiyaa ho jaise aise a.njaan bane baiThe ho tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise hichakiyaa.N raat ko aatii hii rahii.n tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise zindagii biit rahii hai "daanish" ek bejurm sazaa ho jaise

firaaq-e-diidaa huu.N mai.n vasl-e-yaar baaqii hai

firaaq-e-diidaa huu.N mai.n vasl-e-yaar baaqii hai Khizaa.N rasiidaa chaman kii bahaar baaqii hai havaa to kahatii hai saaqamade bahaar-e-chaman sadaa-e-gu.nchaa-e-vahadat hazaar baaqii hai buto.n ke qahar se ham ko maqaam-e-yaas nahii.n ummiid-e-rahamat-e-paravar-digaar baaqii hai  

do javaa.N dilo.n kaa Gam, duriyaa.N samajhatii hai.n

do javaa.N dilo.n kaa Gam, duriyaa.N samajhatii hai.n kaun yaad karataa hai, hichakiyaa.N samajhatii hai.n tum to Khud hii qaatil ho, tum ye baat kyaa jaano.n kyo.n huaa mai.n divaanaa, be.Diiyaa.N samajhatii hai.n baam se utaratii hai jab hasiin doshizaa jism kii nazaakat ko, sii.Diiyaa.N samajhatii hai.n yuu.N to sair-e-gulashan ko, kitane log aate hai.n phuul kaun to.Degaa Daaliyaa.N samajhatii hai.n jisane kar liyaa dil me.n pahalii baar ghar 'Danish' us ko merii aa.Nkho.n kii putaliyaa.N samajhatii hai.n

tujhase milane kii sazaa de.nge tere shahar ke log

tujhase milane kii sazaa de.nge tere shahar ke log ye vafaao.n kaa silaa de.nge tere shahar ke log kyaa Khabar thii tere milane pe qayaamat hogii mujhako diivaanaa banaa de.nge tere shahar ke log terii nazaro.n se giraane ke liye jaan-e-hayaa mujhako mujarim bhii banaa de.nge tere shahar ke log kah ke diivaanaa mujhe maar rahe hai.n patthar aur kyaa isake sivaa de.nge tere shahar ke log

dastuur ibaadat kaa duniyaa se niraalaa ho

dastuur ibaadat kaa duniyaa se niraalaa ho ik haath me.n maalaa ho ik haath me.n pyaalaa ho puuje.nge saliiqe se andaaz magar apanaa ho yaad-e-Khudaa dil me.n saaqii ne sambhaalaa ho mastii bhii taqaddus bhii ek saath chale dono.n ik simt ho maiKhaanaa ik simt shivaalaa ho masjid kii taraf se tuu jaanaa na kabhii saaqii zaahid bhii kabhii teraa na chaahanevaalaa ho vo Duub ke mar jaaye.n madiraa kii suraahii me.n maashuuq ne gar dil kii mahafil se nikaalaa ho

dard-e-dil paas-e-vafaa jazbaa-e-imaa.N honaa

dard-e-dil paas-e-vafaa jazbaa-e-imaa.N honaa aadamiyat yahii hai aur yahii insaa.N hoaa nau-giraftaar-e-balaa tarz-e-fuGaa.N kyaa jaane.n ko_ii naashaad sikhaa de inhe.n naalaa.N honaa rah ke duniyaa me.n yuu.N tark-e-havas kii koshish jis tarah apane hii saaye se gurezaa.N honaa zindagii kyaa hai anaasir me.n zahuur-e-tartiib maut kya hai inhii.n ijzaa kaa pareshaa.N honaa dil asiirii me.n bhii aazaad hai aazaado.n kaa valvalo.n ke liye mumkin nahii.n zindaa honaa gul ko paamaal na kar laal-o-gauhar ke maalik hai ise turaah-e-dastaar-e-Gariibaa.N honaa hai meraa zabt-e-junuu.N josh-e-junuu.N se ba.Dhakar nang hai mere liye chaak garebaa.N honaa  

dard-e-dil me.n kamii na ho jaaye

dard-e-dil me.n kamii na ho jaaye dostii dushmanii na ho jaaye tum merii dostii kaa dam na bharo aasmaa.N mudda_ii na ho jaaye baiThataa huu.N hameshaa ri.ndo.n me.n kahii.n zaahid valii na ho jaaye apane Khuu-e-vafaa se Darataa huu.N aashiqii ba.ndagii na ho jaaye

may pilaakar aapakaa kyaa jaayegaa

may pilaakar aapakaa kyaa jaayegaa jaayegaa iimaan jisakaa jaayegaa dekhakar mujhako vo sharmaa jaayegaa ye tamaashaa kisase dekhaa jaayegaa jaauu.N butaKhaane se kyuu.N kaabe ko mai.n haath se ye bhii Thikaanaa jaayegaa qatl kii jab usane dii dhamakii mujhe kah diyaa mai.n ne bhii dekhaa jaayegaa pii bhii le do ghuu.NT zaahid pii bhii le maikade se kaun pyaasaa jaayegaa

na kah saaqii bahaar aane ke din hai.n

na kah saaqii bahaar aane ke din hai.n jigar ke daaG chhil jaane ke din hai.n adaa sii Khuub adaa aane ke din hai.n abhii to duur sharmaane ke din hai.n garebaa.N Dhuu.NDhate hai.n haath mere chaman me.n phuul khil jaane ke din hai.n tumhe.n raaz-e-muhabbat kyaa bataaye.n tumhare khelane khaane ke din hai.n ghaTaaye.n uudii uudii kah rahii hai may-e-a.nguur khi.nchavaane ke din hai.n

shammaa-e-mazaar thii na koii sogavaar thaa

shammaa-e-mazaar thii na koii sogavaar thaa tum jis pe ro rahe the vo kisakaa mazaar thaa ta.Dapuu.Ngaa umr bhar dil-e-marahuum ke liye kambaKht naamuraad la.Dakapan kaa yaar thaa jaaduu hai ya tilism tumharii zubaan me.n tum jhuuTh kah rahe the mujhe aitabaar thaa kyaa kyaa hamare sajde kii rusavaaiiyaa.N huii.n naqshe-qadam kisii kaa sare rahaguzaar thaa

ye dil kabhii na muhabbat me.n kaamayaab huaa

ye dil kabhii na muhabbat me.n kaamayaab huaa mujhe Kharaab kiyaa, aap bhii Kharaab huaa ajal me.n, ziist me.n turabat me.n, hashr me.n zaalim tere sitam ke liye mai.n hii intaKhaab huaa nigaah-e-mast ko saaqii kii kaun de ilzaam meraa nasiib ki rusavaa meraa shabaab huaa hamaare ishq kii das-biis ne bhii daad na dii kisii kaa husn zamaane me.n intaKhaab huaa fanaa kaa daavaa hazaaro.n ko thaa zamaane me.n habaab ne mujhe dekhaa to aab-aab huaa

zulm ke paao.n se jo phuul masal jaate hai.n

zulm ke paao.n se jo phuul masal jaate hai.n Khaar ban kar vahii patthar pe nikal aate hai.n phir bahaaro.n kii zaruurat nahii.n rahatii un ko ye Khizaa.N me.n bhii ba.Dii shaan se khil jaate hai.n Guu.Nche vo milatii nahii.n hai jinhe.n aagosh ko_ii vahii miTate hai.n to kiicha.D me.n kamal aate hai.n Dab-Dabaa_ii hu_ii aa.Nkho.n me.n na aa.Nnkhe.n Daalo in me.n tuufaan hai.n chhe.D se machal jaate hai.n vo jo kal raunaq-e-faanuus thii aiwaan ke liye aaj us shammaa se aiwaan dahal jaate hai.n dhuup thii tez to saaye bhii the paro.n ke tale is ke Dhalate hii ruKh in ke bhii badal jaate hai.n hamane samajhaa hai zamaane ko ba.Dii der ke baad ye vo Kha.njar hai.n jo apano pe bhii chal jaate hai.n hamako aataa nahii.n zaKhmo.n kii numaa_ish karanaa Khud hii rote hai.n ta.Dapate hai.n bahal jaate hai.n jo samajhate hai.n hawabis ko vo khilona kii tarah un se tuufaan bhii bach-bach ke nikal jaate hai.n azm-vaale kabhii himmat nahii.n haaraa karate ashk 'Azra' ke ye kah kah ke sam...

hangaamaa hai kyuu.N barpaa tho.Dii sii jo pii lii hai

hangaamaa hai kyuu.N barpaa tho.Dii sii jo pii lii hai Daakaa to nahii.n Daalaa chorii to nahii.n kii hai naa-tajurbaakaarii se vaa_iz kii ye baate.n hai.n is rang ko kyaa jaane puuchho to kabhii pii hai us mai se nahii.n matalab dil jis se hai begaanaa maqasuud hai us mai se dil hii me.n jo khi.nchatii hai vaa.N dil me.n ki sadame do yaa.N jii me.n ke sab sah lo un kaa bhii ajab dil hai meraa bhii ajab jii hai har zarraa chamakataa hai anavaar-e-ilaahii se har saa.Ns ye kahatii hai ham hai.n to Khudaa bhii hai suuraj me.n lage dhabbaa fitarat ke karishme hai.n but ham ko kahe kaafir allaah kii marzii hai

saa.Ns lete huye bhii Darataa huu.N

saa.Ns lete huye bhii Darataa huu.N ye na samajhe.n ki aah karataa huu.N bahar-e-hastii me.n huu.N misaal-e-hubaab miT hii jaataa huu.N jab ubharataa huu.N itanii aazaadii bhii Ganimat hai saa.Ns letaa huu.N baat karataa huu.N sheKh saahab Khudaa se Darate ho mai.n to angrezo.n hii se Darataa huu.N aap kyaa puuchhate hai.n meraa mizaaj shukr allaah kaa hai marataa huu.N ye ba.Daa aib mujh me.n hai ’akbar’ dil me.n jo aaye kah guzarataa huu.N

Khizaa.N ke rang me.n abhii bahaar baaqii hai

Khizaa.N ke rang me.n abhii bahaar baaqii hai chiraaG-e-sahar hai par intazaar baaqii hai hame.n salaam karo ai havaadis-e-dauraa.N tumhaare saath hai.n phir bhii qaraar baaqii hai guzar chukaa hai ummiido.n kaa qaafilaa kab kaa raah-e-yaqiin pe ab bhii Gubaar baaqii hai hame.n pukaar lo jab chaaho ham mile.nge vahii.n mile hai.n Khaak me.n lekin vaqaar baaqii hai

ik tum ke dil me.n dard kisii Gair ke liye

ik tum ke dil me.n dard kisii Gair ke liye ik ham ke dard ban gaye Khud aap ke liye ham apane aashiyaane me.n tere mu.ntazir tum ti.nke chun rahe the kisii aur ke liye ham jaanate hai.n dil me.n tumhaare nahii.n hai.n ham jo Khat tumhaarii aa.Nkho.n me.n the ham ne pa.Dh liye Gam hai ke tuu ne luuT liyaa aitamaad ko ik daaG de diye hai.n hame.n umr ke liye qaatil kii is adaa pe bhii qurbaan jaaye Khud de ke zahar aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu bhii bhar liye thii kaun sii Khataa ke milii jis kii ye sazaa hamane to umr bhar tere nqash-e-qadam liye "Azra" ye maanaa bojh hai ab tujh pe zindagii par zindagii to terii nahii.n hai tere liye

sun to sahii jahaa.N me.n hai teraa fasaanaa kyaa

sun to sahii jahaa.N me.n hai teraa fasaanaa kyaa kahatii hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibaanaa kyaa ziinaa sabaa kaa Dhuu.NDhatii hai apanii musht-e-Khaak baam-e-baland yaar kaa hai aastaanaa kyaa aatii hai kis tarah se merii kabz-e-ruuh ko dekhuu.N to maut Dhuu.NDh rahii hai bahaanaa kyaa betaab hai kamaal hamaaraa dil-e-aziim mahamaa.N saaraay-e-jism kaa hogaa ravanaa kyaa

kal aur aaj

vo bhii kyaa log the aasaan thii raahe.n jin kii band aa.Nkhe.n kiye ik simt chale jaate the aql-o-dil Khvaab-o-haqiiqat kii na uljhan na Khalish muKhtalif jalve nigaaho.n ko na bahalaate the ishq saadaa bhii thaa beKhud bhii junuu.N_peshaa bhii husn ko apanii adaao.n pe hijaab aataa thaa phuul khilate the to phuulo.n me.n nashaa hotaa thaa raat Dhalatii thii to shiisho.n pe shabaab aataa thaa chaa.Ndanii kaif_asar ruuh_afzaa hotii thii abr aataa thaa to bad_mast bhii ho jaate the din me.n shorish bhii huaa karatii thii hangaame bhii raat kii god me.n muu.Nh Dhaa.Np ke so jaate the narm rau vaqt ke dhaare pe safiine the ravaa.N saahil-o-bahr ke aa_iin na badalate the kabhii naaKhudaao.n pe bharosaa thaa muqaddar pe yaqii.n chaadar-e-aab se tuufaan na ubalate the kabhii ham ke tuufaano.n ke paale bhii sataaye bhii hai.n barq-o-baaraa.N me.n vo hii shame.n jalaaye.n kaise ye jo aatish_kadaa duniyaa me.n bha.Dak uTThaa hai aa.Nsuo.n se use har baar bujhaaye.n kaise kar diyaa barq-o-buKha...

Pani ankh mein bhar ker laya jasakta hai

Pani ankh mein bhar ker laya jasakta hai Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai Dil per paani peeney ati hain umeedien Is chashmey mein zeher milaya jasakta hai Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao Esa zakham to dil per khaya jasakta hai Phatta purana khawb hai mera phir bhi tabish Is mein apna aap chupaya jasakta hai

AfsAnA-e-isHq

!!..AfsAnA-e-isHq jIs ko b SuNayA..!! !!..Usi Ne kAhA tERi juRat ko sAlAm..!!

Lafzon Ka Khel Khelna Koi Aam C Baat Nahin

Lafzon Ka Khel Khelna Koi Aam C Baat Nahin, Mohabbat Karni Parti Hai, Ye Khel Khelny Say Pehly..!!

Nahin Janta K Kya Hai Rishta Tera, Sath Meray..

Nahin Janta K Kya Hai Rishta Tera, Sath Meray.. Itna Janta Hoon, Yargmaal Bna Diya Hai Tere Khyalon Ny..!!

Kabhi Ju Hota Nahi

Kabhi Ju Hota Nahi ...................................Rabta Uss Sey Mera Mai'n Khud Mai'n Doob Jata Hou'n Woh Mujh Ko Wahi'n Milta Hy ♥

Rakha Maine Apne Ghar Ka Naam Mohabbat Hai.

Mere Dil Ki Har Dhadkan Ka Payaam Mohabbat Hai, Intezaar Mein Likhi Wo Har Kalam Mohabbat Hai, Ye Haseen Armaan Mere, Wo Bebak Jazbe Tere, Mil Jaye Dono Yaha, To Har Shaam Mohabbat Hai, Kab Shuru Hua Ye Chahton Ka Silsila Khabar Nahi, Mere Dil Ne Ki Tujhse Umar Tamaam Mohabbat Hai, Banaya Hai Khuda Ne Mujh Ko Tere Pyaar Ke Liye, Meri Zindagi Ka Aagaaz Aur Anjaam Mohabbat Hai, Tu Jahan Bhi Rahe, Mera Dar Wahi Tere Saath Hai, Rakha Maine Apne Ghar Ka Naam Mohabbat Hai.

Jaa Bicher Ja

Jaa Bicher Ja, Magar Khayal Rahe, Yu’n Na Ho, Umer Bhar Malaal* Rahe.