Skip to main content

ye dil kabhii na muhabbat me.n kaamayaab huaa

ye dil kabhii na muhabbat me.n kaamayaab huaa
mujhe Kharaab kiyaa, aap bhii Kharaab huaa


ajal me.n, ziist me.n turabat me.n, hashr me.n zaalim
tere sitam ke liye mai.n hii intaKhaab huaa


nigaah-e-mast ko saaqii kii kaun de ilzaam
meraa nasiib ki rusavaa meraa shabaab huaa

hamaare ishq kii das-biis ne bhii daad na dii
kisii kaa husn zamaane me.n intaKhaab huaa


fanaa kaa daavaa hazaaro.n ko thaa zamaane me.n
habaab ne mujhe dekhaa to aab-aab huaa

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.